Sabse pehle Quran ki kon si aayat nazil hui❓

Quran ko kon si surah sabse pahle nazil hui is talluq se kai 2 Riwayat hai ek Riwayat me hai ki sabse pehle Surah اقرا nazil hui 



2 Riwayat me hai ki sabse pehle surah فاتحہ nazil hui



Iska Waqya ye bayan kiya jata hai ki

Ek roz Huzur ﷺ Hazrate Khadija رضی اللہ عنہا ke pas tashrif laye our farmaya ki jab me tanha me Berthta hun to gayebi aawaz sunta hun ki koi kehta hai padho iski khabar warqa bin nofil ko di gai joki Hazrate Khadija رضی اللہ عنہا ke rushte me bhai the  unhone arz kiya ki ab jab kabhi ye aawaz aaye to aap itminan se sunte rahe fir ye hua ki Hazrate Jibrail علیہ السلام hazire khidmat hue our arz kiya ki padhiye

 بسم اللہ الرحمن الرحیم  الحمد للہ رب العالمین

Isse malum hua ki pehli aayat Surah Fateha hai our Dusri Riwayat se malum hota hai ki pehli aayat surah iqra nazil hui

📚  TAFSIRE NAIMI

و اللہ اعلم بالصواب  

2 comments:

Aapke comments hame milenge our aapko uska replay bhi diya jaega aap apni bat likh sakte hain

THANK U 🌹

Pages