Surah feel ki sahi jankari

 

               

           Surah Feel ki Puri jankari


Yahan Ham janenge ki .....
      Is surah ka name Feel kyu rakha gaya ye surah kab nazil hui is surah me kya zikr kiya gaya hai ?

Name:- 

Is surah ka name feel hai kyunki Feel ka meaning Hathi (Elephant) hota hai our is surah me hathi ka zikr kiya gaya hai is liye is surah ka name Feel rakha gaya hai


Nuzul:- 

Hazrate ibne Abbas رضی اللہ عنہ se riwayat hai ki ye surah macca me nazil hui

Ye surah Nazil hone ke etbar se 19 number par hai our Quran pak me likhne ke etbar se 105 Number par hai


Srah me zikr kiya gaya hai:-

Is surah se pahli surat "Humaza" me Allah ne farmaya ki Kafiron ne jo mal jama kiya wo mal unko Allah ta-aala ke azab se nahi bacha sakta ab is bat par dalil qayem karte hue is surah me farmaya ki Abraha jo mal wa dolat our taqat ke etbar se unse bahot zyada tha wo hathiyon ke foj lekar kaba par hamla kiya to Allah ta-aata ne chote chote parindon ke zariye unko halat kiya isse pata chala ki badhi se badhi taqat kuffar ko Allah ke azab se nahi bacha sakti

Waqya kuch is tarah hai ki...

Habsha ke badshah ki taraf se Abraha ko yaman ka gawarnar banaya gaya usne san'aa name ke shahar me ek kalisa banaya tha uski khahish thi ki loog Macca ke bajaye yahan aa kar tawaf karen usne habsha ke badshah ko khat likha "Maene aapke liye ek behtarin girja tamir kiya(banaya) hai meri khahish hai ki aainda arab ke loog Kaba chodh kar isme haj our tawaf kiya karen" jab ye khabar Makka me pahunchi to Qabila "Bani Kinana" ke ek shakhs ne Ghusse me aa kar us girja me ja kar nijasat fela diya, ye dekh kar Abraha Aag bagula ho gaya our usne Qasam khai our kaha Agar mene Kaba ko na giraya to mera name Abraha nahi wo usi waqt hathiyon ki ek faoj lekar Kaba par hamla karne ke irade se nikal, in hathiyon me ek bahot badha hathi tha jiska name "Mahmud" tha wo Macca Sharif se 2 mil ke Duri par ruka, usne apne ek Sardar ko Hukm diya ki Macca ke logon ke sath chedh chadh kare, wo sardar Quraish ke unt our dusre saman chin kar le aaya jinme Arab ke sardar Huzur ﷺ ke dada jan Hazrat Abdul Muttalib ke bhi 200 unt the uske bad abraha ne kisiko bhej kar Hazrat Abdul Muttalib ko bulwaya Abraha ne unki Bahot izzat ki our Tarjuman ke zariye unme ye bat chit hui ki
   Abraha ne kah "Tum kya chahte ho?"
  Hazrat Abdul Muttalib ne Kaha "mere unt wapas kar do"
Abraha ne Tajjub kiya ki me Khanaye kaba ko dhane aaya hun jo inke khnadan ka itna Mohtaram maqam hai uske bare me kuch na keh kar apne unton ka sawal kar rahe hain usne kaha "Tumhe unton ki Fikr hai our khanaye Kaba ki koi fikr nahi hai, jisko me girane aaya hun"
 Hazrat Abdul muttalib ne kaha "Me unton ka malik hun isliye apne unt mang raha hun, Khanaye Kaba ka Malik Allah hai wo apna ghar khud bachayega"

Is tarah Bat chit ke bad Hazrat Abdul Muttalib apne unt lekar Makka me laot aaye Our Quraish se kaha ki tum loog Shahare Macca se nikal jao our pahadhon ke darron me panah lelo our khudh Kuch Aadmiyon ke Sath khanaye Kaba me gaye Our wahan ye dua ki
     "Aye Allah ! Har insan Apna ghar bachata hai tu bhi apna ghar bacha aesa naho ki uski tadbir teri tadbir par galib aa jaye our agar tu hamare qibla ko unpar chodhna chahta hai to tu jo chahta hai wo kar"

Hazrat Abdul muttalib is dua ke bad Apne sathiyon ke sath pahado ke darro me panah liye,
  Dusri subah ko Abraha Kaba ko girane ke liye apni foj our hathiyon ko lekar rawana hua, jab usne hathi ka munh Makka ki taraf kiya to wo baeth gaya our bahot koshish ke bawajud na utha fir usne hathi ka munh dusri taraf kiya to wo tez bhagne laga fir jab wo uska munk makka ki taraf karta to wo baeth jata our dusri taraf uska munh karta to wo chal padhta isi darmayan Allah Ta-aala ne parindon ke jhund bheje unki chonch our panjon me kankariya thin riwayaton me aata hai ki 3 kankariyan thin 2 panjon me our 1 chonch me unhone wo kankariya barsani shuru kar di ye kankari Agar cha choti thi lekin wo qahare ilahi ke pathar then in parindon ko dekh kar abraha ke lashkar bhagne lage, jis shakhs par wo kankariyan girti wo halak ho jata har kankari par us shakhs ka name likha hua tha wo kankari uske sar me ghusti our miqad se nikal jati is tarah Abraha our uska lashkar halak our barbad ho gaya our Kaba Sharif mehfuz raha.
 
Ye waqeya jis sal hua us sal ko Ahle arab wale "Aamul feel" (Hathi wala sal) kehne lage

Is waqiye se 50 din ke bad Huzur ﷺ  ki Wiladat(Paedaish) hui

Isi waqeya ko Allah Ta-aala ne Quran Majid me Bayan Farmate hue Surah Feel nazil farmai hai

📚 Khazainul Irfan, Sirate Mustafa ﷺ

 واللہ اعلم بلاصواب 

No comments:

Post a Comment

Aapke comments hame milenge our aapko uska replay bhi diya jaega aap apni bat likh sakte hain

THANK U 🌹

Pages