2. Roza ki kitni qismen hain❓




Quran'e pak me hai

يٰۤاَيُّهَا الَّذِيْنَ اٰمَنُوْا كُتِبَ عَلَيْكُمُ الصِّيَامُ كَمَا كُتِبَ عَلَى الَّذِيْنَ مِنْ قَبْلِكُمْ لَعَلَّكُمْ تَتَّقُوْنَۙ

▶️ TARJUMA> Aye iman walon tum par roza farz kiya gaya jesa un par farz hua tha jo tumse pahle  hue taki tum Gunahon se bacho

♦️HADIS SHARIF (3)♦️

🏵️ Huzur ﷺ ne Farmaya 

Jisne Allah ki raza ke liye 1 din ka roza rakha Allah ta-aala usko jahannam se itna dur kar dega jese Kauwwa (Crow) ki jab bacha tha us waqt se udhta raha yahan tak ki budha ho kar mara

سبحان الله

➡Roza ki 5 Qismen hain 

1. Farz => Far ki 2 Qism hai 

(1)Moiyyan (2) Ger Moiyyan

(1) Farz moiyyan jese Ramzan ke roze

(2) Farz ger moiyyan jese Ramzan ke rozon ki qaza

2. Wajib => Wajib ki 2 Qism hai 
       
   (1)Moiyyan (2) Ger Moiyyan 

(1) Wajib moiyyan jese Mannat ke Moiyyan roze (Jese koi mannat mane ki Budh ke din roza rakhenge)

(2) Wajib ger moiyyan jese mannat ke ger moaiyyan roze (Jese koi mannat mane ki kisi bhi din roza rakhenge

3. Nafil => Nafil ki 2 Qism hai 
       
      (1)Masnun (2) Mustahab 

Aashora ke roze, Har mahine 13 14 15, Arfa ka Roza, Peer our jumerat ka roza, shash I'd ke roze, Some Daud Alaihissalam (1 Din Roza 1 Din iftar)



4. Makruhe Tanzihi

Hafta ke din Roza rakhna Niroz o mehergan ke din roza (Irani sal ka pehla din jis din majusi I'd manate hain)  Some dahar (hamesharoza rakhna) Some sukut (Esa roza jisme kuch bat na kare) some wisal(Roza rakh kar iftar na kare our dusre din fir roza rakhe) 

5. Makruhe Tahrimi

  I'd our Aiyyame tashrik ke roze (Idul fitr idul azha 11,12, 13 zilhijja)

            📚HAWALA📚
         📖Bahare shariyat

واللہ اعلم بالصواب

No comments:

Post a Comment

Aapke comments hame milenge our aapko uska replay bhi diya jaega aap apni bat likh sakte hain

THANK U 🌹

Pages