Tauz (Auzbullah)
Tasmiya (Bismillah)
Tauz our Tasmiya me kuch bate qabile Gaor hain
1 Tilawat se pahle ye Q padhte hain
2 Iski Tafseer kya hai
3 Iske Fayede kya hain
4 Iske Mutalliq masail kya hain
1 Tilawat se pahle ye Q padhte hain
Tauz Padhne ki kai wajah hain
Pehli wajah ye ki Khud Rab ne Farmaya hai
فَاِذَا قَرَاتَ القُراٰنَ فَاستَعِذ بِاللهِ مِنَ الشَّیطٰنِ الرَّجِیم
Jab Tum Quran padhne lago to Shetane Rajim se Allah ki panah lo
Lehaza Quran padhne se pahle Tauz Padhna Hukme Ilahi hai
Tauz Huzur ﷺ our tamam Sahaba padhte aaye hain lehaza iska padhna sunnat hai
Tauz Padhna goya ki Rab Ta-aala se Tilawat ki iajazat lena hai
TASMIYA
Tasmiya padhne ki kai wajuhat hain kuch aapke samne pesh ki ja rahi hai
Sabse Pehle Tasmiya padhen ki wajah ye hai ki ye Har surah se shuru me likhi gai hai
Tauz me Allah ke siwa har ek chiz se alag hona tha our Tasmiya me Allah ki taraf tawajjah
Kuffar Apne Har kam se pahle Apne buton ke name lete the is liye Zaruri hua ki Musalman apne har kam se pahle Khuda ka nam le
Sarkari mal par Sarkari alamat laga di jati hai taki chor usko lete hue khof kre isi tarah Quran ki tilawat karne se pahle Tasmiya padhne ka hukm h taki shetan dakhil na ho sake
Assalamu alaikum taouz kise kehte hai
ReplyDeleteاعوذ بالله من الشیطان الرجیم ko
Delete