1. Taoba karke fir gunah karne wale par shar'i hukm



 Ji mera sawal ki koi esa kaam insan krta h usko lgta h ki ye galt hai or iska azab b use bhugtna pdega toh kch din toh Allah k khof se wo kabu krta h lkn fr wapas whi kam krta h fr toba krta h fr whi kam krta h..Mtlb gunah krta h fr toba fr same gunah fr tobA

Toh btaiye esa kya kiya jaye kis trike se niyat ki jaye ki ab gunah nhi ho whi dubara..
Or esa krne walo k liye shariyat ka kya hukum h or kyaa saza hai akhirat ki or duniya ki bhi..
        ✍️Khatun'e islam

              *🔮JAWAB🔮*

Taoba ki 3 shart hai

1.   Apne Gunah par sharminda hona

2.  Apne kiye hue gunah ko chodh dena

3.  Aainda gunah na karne ka pakka irada karna

📌 Agar Banda apne gunah par sharminda hai our sachche dil se taoba kar Raha hai is pukhta irade ke sath ki aainda kabhi gunah nahi karega

*💖 To Rab Tabarak wa Ta-aala se puri ummid hai ki wo maf farma dega*

Ab aapka sawal hai ki ek bar taoba karke fir dobara wahi gunah kare....
       to Shara me iski do surat hai

(1)  Pehli Surat ye ki gunah hi is irade se karta hai ki iske bad taoba karunga to ye kufr hai ki gunah ko halka samajhna hua ya khuda ke sath mazak karna hua ye dono hi kufr hai

(2)  Dusri surat ye hai ki banda taoba ke tamam sharait par Amal kar raha hai lekin fir bhi usse gunah sarzad ho jate hain to wo Rab se na ummid na ho qki na ummidi bhi kufr hai Chunke Rab khud farmata hai 𝐐𝐮𝐫𝐚𝐧 𝐦𝐮𝐪𝐚𝐝𝐝𝐚𝐬 𝐦𝐞 𝐡𝐚𝐢

*♦️ اِنَّ اللّٰهَ لَا یَـغفِرُ اَن یُّشرَكَ بِه وَ یَغفِرُ مَا دُونَ ذٰلِك لِمَن یَّشَاءُ ۚ وَ مَن یُّشرِك بِاللهِ فَقَدِ افتَریٰ اِثماً عَظِیماً (سورة النساء)*

*𝑻𝑨𝑹𝑱𝑨𝑴𝑨 ⇛ Beshak Allah nahi bakhshta us bat ko ki uske sath shirk kiya jaye our bakhsh deta hai jo usse kam ho jis ke liye chahe our jisne Allah ke sath shirk kiya to beshak usne bahot badhe gunah ka bohtan bandha*

⇰ Yahan Allah Rabbul Izzat wada farma raha hai ki kufr o Shirk yani khuda ke sath kisiko sharik thehrane ke alawa har gunah ki mafi hai

*Our Surah Aale Imran me Rab Farmata hai ki*

*♦️اِنَّ اللّٰهَ لَا یُخلِفُ المِیعَاد (اٰل عمران)*

*𝑻𝑨𝑹𝑱𝑨𝑴𝑨 = Yaqinan Allah wada khilafi nahi farmata*

📌 Ab itne dalail ke bawajud naummid hona kuft hai ki jabki khud Rab saf wazeh farma raha hai ki shirk ke alawa har gunah ki mafi hai our wada khilafi bhi nahi farmata ye wazeh hai aese me na ummid hona kufr hai our ye na ummid hona tab kufr hai jabki gunah ko halal samajh kar na karta ho agar gunah ko halal jan kar karta hai to kufr hai aese me mafi ki ummid nahi kar sakte chahiye ki pehle apne kufr ke liye taoba kare our Kalma padhe

*Sharah Aqaide Nasfi📚*

Ab rahi bat ye ki Gonah ki sachi taoba karne ke bad fir gunah karta hai to mafi hogi...
        Banda Jab tak sachi taoba karta rahega Rab Maf farmane wala hai shart hai ki sachchi taoba kare


Rab Apne Bandon par nihayat meherban hai badhe se badhe gunah ki Rab ki Rehmat ke samne koi Haqiqat nahi hai

*Rab Farmata hai*

*♦️فَاِنَّه كَانَ لِلاَوَّابِینَ غَفُوراً*

*𝑻𝑨𝑹𝑱𝑨𝑴𝑨 = To beshak wo taoba karne walon ko bakhshne wala hai*

📌 Hazrat Saiyyeduna Said bine musaiyyab رحمۃ اللہ علیہ farmate hain "Ye farman us shakhs ke bare me hai jis se gunah sarzad hota hai fir taoba karta hai fir gunah karta hai fir taoba karta hai"

*(احیاء العلوم📚)*

📝 𝐍𝐎𝐓𝐄 > Ab agar koi insan kisi gunah se taoba karta hai fir wo gunah ho jata hai to use chahiye ki gaor kare ki gunah ki shuruat kaese hoti hai jo bhi wajah mile use apni zindagi se dur kare taki dobara gunah sarzad na ho

Qki Rab Farmata hai

*♦️وَلَا تَقْرَبُوا الزِّنَا إِنَّهُ كَانَ فَاحِشَةً وَسَاءَ سَبِيلًا[32] سورۃ بنی اسرائل*

*𝑻𝑨𝑹𝑱𝑼𝑴𝑨 = Our zena ke qarib bhi na jao be shak wo hamesha se badhi be hayai our bura rasta hai*

⇰ Yahan zena ke qarib bhi Jane se mana kiya gaya hai halanki zena karna gunah hai na ki zena ke qarib lehaza hame chahiye ki ham har us raste se bache jo gunah ki taraf le jati ho

*Ab kuch wazaif bhi kar sakti hai jaese Har roz apne ghar Surah Bakra ki Tilawat karen ya har waqt Lahol padhen  ان شاء اللہ shetan qarib nahi aayega*

*🤲Allah Rabbul Izzat Ham sabhi ko Sachchi taoba our us par qaem rehne ki kofiq ataa farmaye*

*✍️ 𝑆𝑎𝑏𝑖𝑙𝑎 𝐽𝑎𝑚𝑖𝑙 𝐴𝑚𝑗𝑎𝑑𝑖 𝑅𝑎𝑧𝑣𝑖*


*𝐂𝐎𝐑𝐑𝐄𝐂𝐓𝐈𝐎𝐍👇*

👑 Mohtarma Qariya Aalima Fazela Shahina Amjadi Saheba  👑

👑 Mohtarma Qariya Aalima Fazela Habida Shamsi saheba👑 

   ⚜️⚜️⚜️⚜️⚜️⚜️⚜️⚜️

7 comments:

  1. Mujhe sachi tuba karni hai uske baad inshallah. Nhi karoge

    ReplyDelete
    Replies
    1. ماشاءاللہ
      Allah Rabbul izzat sachi toba ki tofiq ataa farmaye

      Agar kisi gunah me mubtala hain to us gunah ke jitne bhi asbab hain use pehle khatm karen namaz wa roza ki pabandi karen fir bhi wo gnah ho jayen to khud ko saza den ki agar kabhi ho jaye to aap 3 din puri raat nawafi me raat guzarengi wagra our dusra kam aapne ye karna hai ki har waqt aap ye sochen ki khuda dekh raha hai apni zuban par bhi ye jumla layen kisi bhi kam ko karte waqt fir gunah me is qadar sharm mehsus hogi ki ان شاء اللہ aap jald hi use chodh dengi

      Delete
  2. Assalamu Alaykum, muje yaha per ek sawal puchna hai.

    Ager koi insaan gunah kerne ke baad astagfar padh leta hai. Fir zindagi mein mauka milne per wo gunah firse dohrata hai. To kya uski bakhshish hogi Allah Ta'ala ki Bargah mein? Please reply. JazakAllahu khairan

    ReplyDelete
    Replies
    1. وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
      pehli martaba me jo usne toba kiya wo us par qayem nahi raha our dobara dohraya hai iski sakht saza hai lekin toba ka darwaza ab bhi khula hai apne gunahon ki schche dil se mafi mang le toba kar le Rab bakhshne wala Nihayat meherban hai lekin khayal rahe ki toba sachche dil se is irade ke sath kare ki aainda kabhi ye gunah nahi karenge chahe koi jan bhi le le ya is gunah ke kitne bhi asbab samne Zahir ho jaye

      Delete
  3. Assalamu Alaykum, muje yaha per ek sawal puchna hai.

    Ager koi insaan gunah kerne ke baad astagfar padh leta hai. Fir zindagi mein mauka milne per wo gunah firse dohrata hai. To kya uski bakhshish hogi Allah Ta'ala ki Bargah mein? Please reply. JazakAllahu khairan

    ReplyDelete
  4. Wah mashallah bhai kitne clean tarike se samjhaya he lekin mera ek sawal he apse me kisi se mohabbat krta hu usko bola bhi usne bhi bol diya pasand hu lekin bad me keh diya mazak kiya tha pr mene uske abba tak pahuncha di taki vo mujhse bat krte kyunki ladki apne abba se bat krne nhi de rhi thi to uske abba bole ki tum humare hi bacche ho magar mera khandan bahut bada he aur uski wahan hogi ladki syed hai me abbasi hun to unhone mere jazbat nhi samjhe na mujhse kuch pucha bas bol diye 🥺🥺🥺 aur ladki ne bhi nhi bataya ki me usko kitna chahta hun to kya unn pr gunah nhi padega ki mere jazbat ko thukra diya aur syed wagera pr ade hue hain

    ReplyDelete
    Replies
    1. Bhai Saiyyed gharane ki beti ko agar koi apne ghar laega to mushkil hai ki wo aale Rasul ﷺ ka haq adaa kar sake lekin fir bhi ab dil todhne par azab ya jaza wagera Rab par chodh den our ye koshish karen ki Aale Rasul ﷺ se jo bhi hain unke bare me koi galat khayal dil me na aaye unka adab lazim jane (Biradri me hi shadi karna ye shariyat me nahi hai ki isse bahar nahi kar sakte hain) kher aap fikr na karen aap sabr kare ان شاء اللہ aapke haq me jo bhi hain wo aapko jald hi milengi our yaqin jane ki hamara banane wala Raab hamse behtar janta hai ki hamare haq me kon behtar hain us par kamil yaqin rakhen jise aapke haq me rakha hai aapke haq me sabse behtar hogii ان شاء اللہ

      Delete

Aapke comments hame milenge our aapko uska replay bhi diya jaega aap apni bat likh sakte hain

THANK U 🌹

Pages