🌺(5)➡Hamse Jo Sahi ya Galat Kam hota h uski kya wajah hai kya esa taqdir me likha gaya hai❓


*🌸JAWAB➡Bura Kam karke taqdir ki taraf ya khuda ki marzi ki taraf Karna bahot bura hai*

         *Hukm ye hai ki jo acha kam kare use khuda ki taraf se kahe our Agar koi bura Kam ho jae to use apni galatiyon Ka badla samjhe*

      *Apne aap ko kisi kam ke Karne par majbur ya bilkul mukhtar (Azad) na samjhe ye dono gumrahi hai agar ham apni taqdir par majbur hote to hame Sahi galat ki samajh hi nahi di jati our esa bhi nahi hai ki ham Jo bhi kare kuch nahi hoga balki hamesha yahi sochen ki hamare aamal (kamon) ka badla hame duniya me bhi milta hai our aakhirat me bhi milega ab jese aamal honge wesa badla hoga🌸*


          *📚HAWALA📚*

   *📖Bahare shariyat*

*Page>18,19**



*📝NOTE =>Taqdir ke bare me har koi nahi samajh sakta hai is liye in me zada gor wo fikr karna halakat hai iman Jane ka khtra hai*


*Hazrate Abu bakr siddiq our Hazrate Umarرضی اللہ تعلی عنہما ne in maslon par bahas karne se mana farmaya hai*


*واللہ تعالی اعلم بالصواب*


*✍Binte Mohammad Noor Alam (Assam)*

No comments:

Post a Comment

Aapke comments hame milenge our aapko uska replay bhi diya jaega aap apni bat likh sakte hain

THANK U 🌹

Pages