🌺➡Qur'an'e pak our dusri kitabon ka adab kese kiya jae❓

🌸JAWAB➡ Qur'an'e pak tamam kitabon me sabse afzal our martaba wali kitab ye khuda ka wo kalam hai Jo kabhi badala nahi ja sakta Qur'an'e pak ko sab kitabon se upar rakha jae is tartib se ki lugat ya naho sarf ki kitab sabse pehle rakhe uske upar ilm'e kalam ki kitab upar fiqah, Hadis, mawaiz, dawate masurah our unke upar tafseer ki kitab our fir sabse upar Qur'an majeed our Qur'an'e pak jis sanduq me ho us sanduq ke upar bhi koi kapda wagera na rakha jae
  ➡Qur'an'e pak ke page agar ese ho jae ki padhne me na aae our uske page ko sambhalna mushkil ho jae zyada purana hone ki wajah se to jalaya na jae balki kisi esi jagah dafan kar de jahan be adbi na ho ya qabristan me is tarah dafan Karen ki pak kapda me lapet kar lahad bana le upar our us par Kuch takhta bhi rakh de chat ki tarah taki uspar mitti na pade our uske bad mitti dalen our us jagah ki mitti thodi unchi kar de nishani ke tor par taki be adbi na ho
   ➡Qur'an'e pak ki taraf pith na ki jae na uski taraf pao phelae na pao ko usse uncha kare na hi khud usse unchai me bethe Qur'an'e pak par agar koi tohin ke irade se Jan buch kar pao rakhe wo kafir hai
    ➡Qur'an majeed ko gilaf me lakhna adab hai our jis kamre me Qur'an pak bager parda rakha ho usme biwi se sohbat karna jaiz nahi
    ➡Qur'an pak khol kar ese hi na choda jae ye adab ke khilaf hai lekin ye kaha jata hai ki shetan padhta hai ye galat hai
   ➡Napaki ki halat me Qur'an'e pak ko na chua jae na padha jae our be wazu na chua jae agar zarurat padhe to apne badan ke kapde (Dupatta wagera Jo us waqt pahne ho) uske alawa kisi dusre pak kapde se uthae
     ➡Qur'an'e pak ko gane ki tarah padhna jaiz nahi our kai log ek sath padhe to dhimi aawaz se padhe ki sirf khud sun sake ese me sabka tez aawaz se padhna haram hai
     ➡Jahan loog kam me busy ho waha tez aawaz se padhna na jaiz hai agar us me se koi ek bhi na sun raha ho to padhne wala gunehgar hoga our agar wahan sab loog sunne ke liye Bethe hon to Sab par sunna farz hai jo bhi na sune wo gunehgar hoga
   
            📚HAWALA📚
   📖Islami Akhlaq wa aadab, Bahare shariyat


📝NOTE= Sultan Moazzam Hazrat Usman رحمة اللہ علیہ bahot sakhi the duniya me is bat se bahot mashhur the bahot se loog unke pas aate to kuch log unko bahot satate the is liye wo kisi hakim ke pas gae shikayat le kar raste me ek ajnabi ke ghar rat guzare our uske ghar me Qur'an majiid dekh kar ghar wale se farmaya ki ye Qur'an ke adab ke khilaf hai uske liye zaruri hai ki adab ke sath uthaya jae

        To khud uth kar Qur'an majeed ko sar par utha liye our subah tak adab se uthaye rahe fir subah apne maqsad ki taraf nikle to ek bahot khubsurat shakhsh se mile unhone farmaya ki me tumhara matlab hun our Allah ta aala ne tumhe our tumhari olad ko bahot bada aejaz bakhsha hai wo sirf is liye ki tumne Qur'an ka adab kiya hai fir farmaya ki ek badi lakdi par jhanda banale our use khada kar de our yahi tumhara shahi jhanda hai uske bad bahot se loog Jams ho gae our uske bad khudae ta aala ne unko itni kamyabi di ki uske bad se saltanate usmaniya kamyabi par hai our ye sirf is wajah se ki hazrate Usman رحمة اللہ علیہ ne Qur'an pak ki izzat wa adab ki thi to Allah ne unhe our unke olad ko bhi duniya me izzat ata farmaiسبحان الله
         📚Hikayate Mahmudiya
واللہ اعلم بالصواب

  📢Copy paste karke gunehgar bane bager  share Karen

        _Dua ki talabgar_
       
       ✍Binte Mohammad Noor Alam (Assam)

No comments:

Post a Comment

Aapke comments hame milenge our aapko uska replay bhi diya jaega aap apni bat likh sakte hain

THANK U 🌹

Pages