4. Zahwe kubra kise kehte hain




Zahwe Kubra :-

        Zahwe kubra ko nisfunnahar Shar-i bhi kehte hain ye malum karne ka tariqa 


Jis waqt se subah sadiq shuru hui us waqt se le kar suraj dubne tak jitne ghante hon unke 2 hisse karen pehle hisse ke khatm par nisfun nahar shari shuru ho jayegi our suraj dhalte hi khatm ho jayegi 

Example 

Aaj 6:00pm me sham ko suraj duba our 6:00am me hi suraj nikla 12:pm din ko dopeher hui our 4:30am subah sadiq hui (aasman me safedi feli) to total subah sadiq se suraj dubne tak 13:30 ghante hue jiska aadha 6:45 ghante hue ab subah sadiq ke shuru 4:30am se ye 6:45 ghante guzarne den to 11:15am ho jayega ab 11:15am se nisfunnahar Shari shuru hua our thik 12:00 bajte hi jab suraj pachim ki taraf dhala to khatm hua isse malum hua ki pon ghanta yani 11:15am se 12:00pm tak nisfun nahar shar-i raha



واللہ اعلم بالصواب

No comments:

Post a Comment

Aapke comments hame milenge our aapko uska replay bhi diya jaega aap apni bat likh sakte hain

THANK U 🌹

Pages