🌺➡ Mot ka jism our ruh se kya talluq hai ❓




🌸JAWAB➡Mot ka Matlab ruh ka jism se juda hona hai  ruh nahi Marti hai

 ➡Murda kalam bhi karta hai our uske kalam ko jinn our insan ke alawa tamam hewanat sunte hain

 ➡Murda agar qabr me dafan na kiya jae to wo jahan bhi ho usse sawalat'e Qabr honge our wahi azab our sawab use paunchega

 ➡Jism agar gal jae jal jae magar uske ajza asliya jese ridh ki haddi ke kuch barik ajza jise "Ajbuz zunb" kehte hain qayamat tak baqi rahenge inhi par azab wa sawab hoga inko na dekh sakte hain na aag inhe jala sakti hai na mitti gala sakti hai qayamat ke roz unka jism isi ajza me banega naki dusra jism banaya jaega unke gosht our haddiya wagera kahi ho jal kar khak bhi ho gai ho Allah rabbul izzat unhe jama farmayega unki pehli halat par our har ruh ko unke jism me bhejega use hashr kehte hain

 ➡Tamam Ambiya'e علیہم السلام , aoliya'e karam, ulmae din, shuhda'e karam, Hafize Qur'an wo jo ki Qur'an pak par amal karte hon, our Jo kabhi khuda ki nafarmani na ki ho, our Jo apne oqat(Time) ko Durud'e pak padhne me sarf kiye hon unke badan ko mitti nahi khati
     ➡Jesa ki Qur'an'e pak me rab farmata  hai

… {وَ لَا تَقُوْلُوْا لِمَنْ يُّقْتَلُ فِيْ سَبِيْلِ اللّٰهِ اَمْوَاتٌ١ؕ بَلْ اَحْيَآءٌ وَّ لٰكِنْ لَّا تَشْعُرُوْنَ۰۰۱۵۴} پ۲، البقرۃ: ۱۵۴۔

 ➡TARJAMA=> Our Jo khuda ki rah me mare jae unhe murda na kaho balki wo zinda hain han tumhe khabar nahi

    وَ لَا تَحْسَبَنَّ الَّذِيْنَ قُتِلُوْا فِيْ سَبِيْلِ اللّٰهِ اَمْوَاتًا١ؕ بَلْ اَحْيَآءٌ عِنْدَ رَبِّهِمْ يُرْزَقُوْن  سورة آل عمران ١٦٩

 ➡TARJAMA=> Our Jo khuda ki rah me mare jae hargiz unhe murda na khayal karna balki wo apne rab ke pas zinda hain rozi pate hain

 📌Isse sabit hua ki shuhda apni qabron me zinda hain our zindon ki tarah khate pite hain our bahot se shohda ko unki qabr me esa paya bhi gaya hai ki unke jism par mitti ka koi asar nahi rehta hai
   سبحان الله
 ➡Hadis'e pak=> Hazrat Abu darda رضی اللہ عنہ riwayat karte hain ki Huzur ﷺ ne farmaya jumma ke din mujh par kasrat se durud bheja karo Qki ye yom'e mashhud hai is din farishte hazir hote hain koi shakhs jab bhi mujhpar durud bhejta hai to uska durud mujh par pesh kiya jata hai yahan tak ki wo usse farig ho jata hai Hazrat Abu darda رضی اللہ عنہ kehte hain mene arz kiya our wafat ke bad? Aap ﷺ ne farmaya our wafat ke bad bhi aap ﷺ ne farmaya Allah ta aala ne zamin ke liye ambiya karam علیہم السلام ke jismon ko khana haram kar diya hai to Allah ke nabi zinda hote hain our unhe rizq diya jata hai
       📖Ibne maja kitabul janaiz Hadis N. 1637

 ➡Hadise pak=> Hazrat'e Ana's رضی اللہ عنہ se marwi hai ki Nabi'e karim ﷺ ne farmaya me Hazrat'e Musa علیہ السلام ki qabr ke pas se guzra (to mene dekha ki ) wo apni qabr me namaz padh rahe the
     📖Sunan nisai Hadis N. 3316, Sahi Muslim Hadis N. 2375

 📌Jo Ambiya علیہم السلام ke bare me ye bat kahe ki mar kar mitti me mil gae wo gumrah, bad din hai jesa ki Ismail dahalwi (Deobandi) ne apni kitab me likha hai

 ➡Azab'e Qabr haq hai
 Jesa ki Qur'an pak me farmaya gaya

اَلنَّارُ يُعْرَضُوْنَ عَلَيْهَا غُدُوًّا وَّ عَشِيًّا١ۚ 
 پ۲۴ ، المؤمن:۴۶۔
 ➡TARJAMA=>Aag jis par subah sham pesh kiye jate hain

 ➡Hadise pak=> Har marne wale par uska maqam subah sham pesh kiya jata hai jannati par jannat ka dozakhi par dozakh ka our usse kaha jata hai ki ye tumhara thikana hai hatta ki roze qayamat Allah ta aala tujhko uski taraf uthae
      📖Bukhari Sharif

 ➡Nabi'e Karim ﷺ madine se bahar tashrif le gae suraj gurub ho chuka tha us waqt aapﷺ ko ek aawaz sunai di (Yahudiyon par azabe qabr ki) fir Huzur ﷺ ne farmaya ki yahudi par uski qabr me azab ho raha hai
       📖Bukhari Sharif Hadis N. 1375

 ➡Huzur ﷺ is tarah dua karte then
aye Allah me qabr ke azab se Teri panah chahta hun our dozakh ke azab se our zindagi our mot ki aazmaish se our Kane dajjal ki bala se Teri panah chahta hun
   📖Bukhari Sharif Hadis N. 1377

            📚HAWALA📚
   📖Aam kutub fiqah

📝NOTE= Jo ruh ko fana mane wo badmazhab hai

واللہ اعلم بالصواب

        _Dua ki talabgar_
       
       ✍Binte Mohammad Noor Alam (Assam)

No comments:

Post a Comment

Aapke comments hame milenge our aapko uska replay bhi diya jaega aap apni bat likh sakte hain

THANK U 🌹

Pages