♦️JAWAB ↝ Ramzan ka roza Aaqil balig insan par us waqt farz hoga ki wo waqt jisme roze ki shuruat hoti hai wo waqt pa le yani subah sadiq se zahwe kubra tak ki uske bad roza ki niyat nahi ho sakti is liye roza nahi ho sakta hai agar koi rat me niyat kare to niyat mani jayegi lekin ye asl me roze ke liye niyat ka waqt nahi h
Ab agar koi esa shakhs jo behosh ho our ramzan ke kisi rat me hosh aaye our subah behosh rahe ya fir zahwe kubra ke bad kisi din hosh aaya to us par ramzan ke roze ki qaza nahi jabki pura ramzan isi tarah guzar jaye lekin 1 din bhi esa waqt mil gaya jisme niyat kar sakta h to sare ramzan ki qaza lazim h
📚HAWALA📚
📖Bahare shariyat
📖Bahare shariyat
Zahwe Kubra :-
Zahwe kubra ko nisfunnahar Shar-i bhi kehte hain ye malum karne ka tariqa
Jis waqt se subah sadiq shuru hui us waqt se le kar suraj dubne tak jitne ghante hon unke 2 hisse karen pehle hisse ke khatm par nisfun nahar shari shuru ho jayegi our suraj dhalte hi khatm ho jayegi
Example
Aaj 6:00pm me sham ko suraj duba our 6:00am me hi suraj nikla 12:pm din ko dopeher hui our 4:30am subah sadiq hui (aasman me safedi feli) to total subah sadiq se suraj dubne tak 13:30 ghante hue jiska aadha 6:45 ghante hue ab subah sadiq ke shuru 4:30am se ye 6:45 ghante guzarne den to 11:15am ho jayega ab 11:15am se nisfunnahar Shari shuru hua our thik 12:00 bajte hi jab suraj pachim ki taraf dhala to khatm hua isse malum hua ki pon ghanta yani 11:15am se 12:00pm tak nisfun nahar shar-i raha
واللہ اعلم بالصواب
No comments:
Post a Comment
Aapke comments hame milenge our aapko uska replay bhi diya jaega aap apni bat likh sakte hain
THANK U 🌹