Surah Quraish ki tafsir


 Surah Quraish ki Mukammal tafseer aasan lafzon me aapki khidmat me pesh hai 


Yaha aap Surah Quraish ki har aayat ki tafseer our is surat me hone wale kuch etrazat our unke jawab aasani se malum kar sakte hain 


Surah Quraish ki pehli aayat ki tafseer 


لِاِیۡلٰفِ قُرَیۡش


Tarjama > Is liye ki Quraish ko mail dilaya


Tafseer > Quraish ki fazilat :-

        Hazrate Abu Huraira رضی اللہ عنہ Bayan karte hain ki Nabi ﷺ ne farmaya "Is deen me loog Quraish ke tabe(perwi karne wale) hain, Musalman Musalman ke tabe hain our kafir kafir ke tabe hain 

             (Sahi Bukhari)


Hazrate sa'ad رضی اللہ عنہ Bayan karte hain ki Nabi ﷺ ne farmaya " Jisne Quraish ko zalil krne ka irada kiya Allah usko zalil kar dega (Sunan tirmiz)



Hazrate Umme  hani Bint Abi talib رضی اللہ عنہما bayan karti hain ki Nabi ﷺ  ne farmaya "Allah Ta'aala ne 7 wajah se Quraish ko fazilat di hai 


(1) Me Quraish se hun


(2) Nubuwat unme hai


(3) Hejabat unme hai


(4) Zamzam se pani pilane ka mansab unme hai


(5) Ashabe feel ke khilaf Allah ta'aala ne unki madad farmai 


(6) Unhone 10 sal Allah Subhanahu ki ibadat ki us waqt unke alawa our koi ibadat nahi karta tha 


(7) Allah Rabbul Izzat ne unke Mutalliq Quran Majid ki ek surat nazil ki fir aapﷺ ne is surat (Surah Quraish) ki tilawat ki


Surah Quraish ki dusri aayat 


اٖلٰفِهِمۡ رِحۡلَةَ الشِّتَآءِ وَ الصَّیۡف


Tarjama > Unke jadhe our garmi donon ke kuuch me mael dilaya



Tafseer > Surah Quraish ki dusri aayat me ye hai ki Quraish ko tijarati safar par ragib karne ke liye "Ashabe Feel" ko halak kiya gaya iska kya sabab hai ?

          Iska jawab ye hai ki Makka Mukarrama aesa shahar tha ki jahan kheti wagera nahi hote the our makka ke sardar sardi our garmi me tijarati safar kiya karte the our isi tijarat par unki rozi roti thi wo is tijarat ke zariye ahle Makka ki zarurat ke chizen kharid kar late the our Makka ke aas pas ke loog Makka walon ki bahot izzat karte the wo kehte the ki Allah ke ghar ke padhosi our Haram ke rehne wale hain Inko Ahlul-llah (Allah wale) kaha jata tha Agar Abraha ke lashkar Khana'e Kaba ko gira dete to unki ye izzat jati rahti our ahle habsha Makka me lut mar macha dete our ye sheher wiran our khandar ho jata our ek sabab ye hai ki Hamare Nabi ﷺ ne isi sheher me peda hona tha our Hazrate Ibrahim علیہ السلام Isi shahar me Nabi ﷺ ko bhejne ki dua ki thi is liye Allah Ta-aala ne Quraish ke dilon ko sardi ke mosam me Yaman ke safar ki taraf maail kiya our Garmi ke mosam me sham ke safar ki taraf maail kiya 


Surah Quraish ki Tisri aayat


فَلۡیَعۡبُدُوۡا رَبَّ هٰذَا الۡبَیۡتِ


Tarjama > To unhe chahiye is ghar ke Rab ki bandagi karen


Tafseer > Quraish par Allah Rabbul izzat ne jo in'aamat ataa farmaya to unhe chahiye ki wo Allah ki ibadat me kisiko sharik na karen 


Allah Rabbul izzat ke in'aamat ki 2 qism hai 


1 - Taklif ko dur karna 

2- Nafa ataa farmana 


Allah Rabbul izzat ne Quraish par donon qism ke in'aamat ataa farmaya hai our Nafa (Fayeda) pahunchana Taklif ko dur karne se pahle hota hai is liye Surah feel me unse unke dushman abraha ke lashkar ko halak karne ka zikr farmaya our surah Quraish me unko tijarati safar ke liye ragib karne ka bayan farmaya our har neamat par uska shukr karna wajib hota hai, Is liye ibadat ke liya Rab ne farmaya kyunki Quraish ko usne ye neamaten ataa farmai hai is liye un par wajib hai ki wo uska shukr adaa karne ke liye Baetu-llah ke Rab ki ibadat karen


IBADAT KA MEANING :-

          Is ibadat ka ye mana hai ki wo Allah Rabbul izzat ke samne intehai aajizi ka izhar karen ya us Baetu-llah ke Rab ki tohid ka iqrar karen kyunki sirf usi ne is ghar ki hifazat ki hai na ki un buton ne jinki wo parwarish karte hai our is aayat me Rab "رب" ka lafz is liye istemal farmaya hai ki Hazrate Abdul Muttalib ne abraha se kaha tha ki is Baet ka ek Rab hai jo iski hifazat karega our Kaba ki hifazat ko buton ke hawale nahi karega is liye ab Quraish par lazim tha ki iqrar ki bina par sirf Allah Wahdahu ki ibadat karen our uske siwa kisi our ki ibadat na karen goya ki Allah ne Quraish se Farmaya ki "Chunki tumne Kaba ki hifazat ke liye sirf Allah Wahdahu par etmad kiya hai lehaza is Baet me sirf isi ki ibadat karo our iski Ibadat me kisiko sharik na karo" 


Surah Quraish ki chothi aayat 


الَّذِیۡٓ اَطۡعَمَهُمۡ مِّنۡ جُوۡعٍ ۙ وَّ اٰمَنَهُمۡ مِّنۡ خَوۡفٍ


Tarjama => Jisne unhe bhuk me khana diya our unhe ek badhe khof se amaan bakhsha


Tafseer => Allah ne Quraish ko jo bhuk me khana khilaya uske kai asbab hain 


1 . Allah Rabbul izzat ne jab Quraish ko haram me mamun kar diya to unko apne tijarati safar me koi khatra na raha wo aman our chen ke sath tijarati safar karte our sham our yaman se galla kharid kar late our apni khurd-o-nosh ka intezam karte 


2. Is aayat me Allah Rabbul izzat ne ye zahir farmaya hai ki agar janwaron ko bhi koi shakhs khilaye our pilaye to janwar usi ki ita'at karte han goya Makka ke Mushrikin janwaron se bhi gaye guzre hain ki Allah Rabbul izzat ne unko bhuk me khana khilaya our ye fir bhi Allah ki ita'at our ibadat nahi karte 


3. Is aayat ka ye mana hai ki Quraish jahalat ke bhuk me mubtila the to Allah ne unke nabi par wahi nazil farmai jisse unki jahalat dur ho gai goya ki Allah ne farmaya "Aye Quraish Makka tum Mohammad ﷺ ki boa'sat se pahle jahil loog the fir Allah ne tumhare nabi par wahi nazil farmai jinhone tumko kitab our hikmat ki talim di hattaki ab tumko ahle ilm kaha jata hai" fir khana khilana jism ki giza hai jo khana khilane wale ke shukr ko wajib karta hai to jo khana ruh ki giza (taqat) hai us khane ka shukr ada karna kyun kar shukr ka sabab na hoga

 Is aayat ke dusre hisse me Rab farmata hai ki Quraish ko usne khof se aman bakhsha Iske bhi kai asbab hain 


Quraish makka ke kai shehron ka safar karte teh our unko apne safar me kisi dake ya lutmar ka khatra na tha unko apne safar me kisi khatre ka samna nahi hota tha jabki dusre loog jo dur daraz ke shehron ka safar karte the unko bahot khatrat pesh aate the is mana me ye aayat nazil hui 


2 Allah Rabbul izzat ne Ashabe feel ko halak karke unke shahr ko our unke safar ko mamun (Hifazat) kar diya 

                               ●○●○●○●○●○●○●○●


Qabilai Quraish ka name Quraish kyu rakha gaya ?

   Quraish samandar ke ek badhe janwar ka name hai jo kashtiyon se khelta hai Hazrate Ibne Abbas رضی اللہ عنہ bayan karte hain ki Hazrate Amire Muawiya رضی اللہ عنہ ne unse Quraish ke name ke bare me pucha to unhone kaha "Quraish Samandar ka ek Taqatwar janwar hai jo dusre janwaron ko kha jata hai lekin usko koi nahi khata wo hamesha galib rahta hai our kabhi maglub nahi hota Qabilaye quraish me ek Shakhs Fahar bin Malik guzre hain jo ki bahot taqatwar then wo arab ke tamam qabilon par hamesha galib rahte the unki wajah se hi is qabile ka name Quraish padha


 Nabi ﷺ bhi Qabilae Quraish me peda hue the Hadise pak me hai :-

     Huzur ﷺ ne farmaya ki Beshak Allah Azwajal ne Hazrate Ismail ki olad se Kenana ko chun liya our Kinana ki olad me se Quraish ko chun liya our Quraish me se Banu Hashim ko chun liya our Banu Hashim me se mujhe chun liya 

             (Sahi Muslim Sharif)


Surah Quraish ka Surah feel se talluq our etrazat :-


   Hazrate Abu Ubaidah رضی اللہ عنہ ne kaha ki Surah Quraish Surah Feel ke sat marbut (Mila hua) yani Allah Rabbul izzat ne Ashabe feel ko is liye halak kiya taki Quraish baaqi rahen is par etraz hota hai


ETARZ :-

       Allah ne jo Ashabe Feel ko halak kar diya our unko khaye hue bhuse ki tarah kar diya to wo unke kufr ki saza thi na is liye ki isse Quraish ki Himayat (Madad) maqsud thi


JAWAB :- 

     Iska jwab ye hai ki ye unke kufr ki saza nahi thi kyunki kufr ki saza to Allah Rabbul Izzat ne Roze Qayamat tak ke liye rakha hai agar ye koi saza hoti to Allah tamam kafiron ko saza deta Allah ne Abraha ke lashkar jo halak kiya tha wo Quraish ki Qadr afzai ke liye tha 



Surah Quraish our Surah Feel ek surat hai ya alag alag :-



Baz ulmae karam ne kaha ki Surah Quraish our isse pahli surat Surah Feel ek surat hai iski ek dalil ye dete hain ki Hazrate Ubai bin kab رضی اللہ عنہ ke Mushaf Sharif me in dono suraton ko ek qarar diya gaya hai 


JAWAB :- 

   Jawab ye hai ki Hazrate Ubai bin Kab رضی اللہ عنہ  ke Mushaf Sharif ka etbar nahi hai Balki Usman Gani رضی اللہ عنہ ke Mushaf Sharif ka etbar hai our is par ijma hai 


Our dusri dalil ye dete hai ki ek martaba Hazrate Umar رضی اللہ عنہ ne magrib ki pehli Rak'at me Surah Wattin padhi our dusri rak'at me Surah Feel our Quraish mila kar padhen Isse malum hua ki ye dono ek surat hain

JAWAB:-

Iska Jawab ye hai ki Imam ke liye jaiz hai ki wo ek Rak'at me do suraton ko milakar padhen isse ye lazim nahi aata hai ki wo dono ek surat hain

No comments:

Post a Comment

Aapke comments hame milenge our aapko uska replay bhi diya jaega aap apni bat likh sakte hain

THANK U 🌹

Pages