SURAH FEEL KI TAFSIR

 



                            Surah Feel ki Tafseer


PEHLI AAYAT

                       اَلَمۡ تَرَكَیۡفَ فَعَلَ رَبُّكَ بِاَصۡحَابِ الفِیۡل۝

 TARJAMA

               Aye Mabub kya tumne na dekha ki Tumhare Rab ne un hathi walon ka kya hal kiya

TAFSEER

     Is aayat me Rab farmata hai ki kya Aapne nahi dekha halanki ye waqya aapki Pedaish se 50 din pehle our Nubuwat ke elan se 40 sal pehle ka hai jaesa ki Hadise pak me hai ki Hazrate Qaes رضی اللہ عنہ Bayan karte hain ki "Me our Rasul ﷺ Hathiyon ke lashkar wale sal paeda hue the Hamari paedaish ek sal me hui" (Tirmizi Sharif) to jo waqya Aapki paedaish se pahle hua ho usko aap kaese dekh sakte the iska jawab ye hai ki is Aayat me is taraf ishara hai ki Parindo ki kankari fenkne ka waqya ek aesa yaqini waqya hai ki iska ilm Arab me har kisi ko tha our iska ilm logon ko aesa tha goya ki har kisine isko dekha hai lehaza aapne nahi dekha ye is mana me hai ki aapne nahi jana lekin iska ilm logon ko aesa tha goya ye waqya har ek ne apni aankhon se dekha hai is liye is aayat me farmaya gaya ki "Kya aapne nahi dekha"



Huzur ﷺ ke paeda hone se pahle Moajza (Irhas):-

IRHAS:-

       Parindon ke kankari Marne ka waqya Allah Rabbul izzat ke ilm our uski Qudrat par dalil hai our isme Nabiye karim ﷺ ke sharf ka zuhur hai ki Allah ne Aapki pedaish se pehle Aapke liye ek Khilafe Aadat waqya zahir Farmaya Nabi ki Pedaish se pehle bhi Moajzat ka zahir hona jaiz hai isko IRHAS kehte hain.
    Is waqya ko koi bhi manghadhat nahi keh sakta hai our nahi ye Hadis Zaif ki tarah hai kyunki usi sal Hamare Nabi ﷺ ki wiladat hui thi our uske 40 sal bad aapne Nubuwat ka aelan kiya our uske kuch din bad hi Mecca Sharif me ye surat nazil hui agar ye waqya galat hota to Nubuwat ke elan ke shuru ke dinon me Huzur ﷺ ke bahot loog mukhalif the agar ye waqya galat hota to wo loog to aasman sar par utha lete ki aesa kuch nahi hua tha na Abraha Hathiyon ka lashkar lekar aaya tha our nahi Parindon ne kankariyan mari thi lekin aesa kuch nahi hua kyunki is waqye par sabka yaqin tha lehaza ye waqya Huzur ﷺ ki nubuwat par Zabardast dalil hai

رَبُّكَ = Aapke Rab

Imam Razi likhte hain ki :-
     Allah Ta-aala ne ye nahi farmaya ki Allah ne Ya Rab ne Hathi walon ke sath kya kiya Balki likha hai "Aapke Rab ne hathi walon ke sath kya kiya?
    Isme ye ishara hai ki Kuffare Mecca ne Dekha ki jo loog Kaba girane aaye the unse Allah Ta-aala ne kis tarah inteqam liya fir bhi unhone But parasti nahi chodhi our aye Pyare Habib Mohammad Mustafa ﷺ aapne us waqye ka mushaheda nahi kiya (Apni aankhon se nahi dekha) fir bhi aapne Allah ki niamaton ka etraf kiya our uska shukriya adaa kiya uski ebadat ki goya ki aapne Allah ka ye inteqam dekha hai our Allah ne sab logon me aapko chun liya lejaza Rab aapse khush ho kar farmata hai "رَبُّکَ"  yani me aapka Rab hun.
     Isme dusra ishara ye hai ki mene Ashabe Feel se jo inteqam liya hai wo sirf aapki Ikram wa tazim ke liye liya hai our aapki Aamad ki izzat Afzai ke liye lehaza jab mene aapki aamad se pahle aapki tazim our izzat afazai ki hai to aapki aamad ke bad aapki madad kyu na karunga is me Huzur ﷺ ke liye ye Basharat (Allah ki taraf se khushkhabri) hai ki Aap zarur Fatah mand our kamyab honge (Isme ye ishara hai ki Kaba Sharif Huzur ﷺ ke tabe hai yni kaba Ek Sipi ki tarah hai our Huzur ﷺ usme ek Moti ki tarah hain islye jab kisine Kaba ko nuqsan pahunchane ka irada kiya Allah Rabbul Izzat ne usse inteqam liya hai) lehaza  Walid bin Mugayera wagera jo Aapko tane de kar our aapke aeb nikal kar aapko taklif dete hain our aapka dil dukhate hain Halanki Aapki wajah se ye duniya banai gai to me unko kyu na saza dunga our unki giraft kyu na karunga.

اَصۡحَابِ الفِیۡل  = Hathi ka sathi 

     Is Aayat me farmaya gaya hai اصحاب الفیل Hathi ka sathi Hakanki Abraha Hathiyon ka malik tha our Hathiyon ke malik ko ارباب الفیل (Hathi ka malik) kehte hain Isme ye ishara hai ki Abraha Hathiyon ke jins se tha yani jis tarah Hathi hewan our be aql hain isi tarah Abraha our uska lashkar Hewan our be-aql tha warna wo Allah ke ghar ko girane ke liye nahi aata our isme is Taraf bhi ishara hai ki Jab ek hi jins ke logon ka zikr hota hai to usme Kam darje wale ke liye kaha jata hai ki wo Aala Darje wale ka sathi hai jaesa ki Kaha Jata hai ki Hazrate Abu bakr Siddiq رضی اللہ عنہ Huzur ﷺ ke sathi hain ye nahi kaha jata hai ki Huzur ﷺ Hazrate Abu Bakrsiddiq رضی اللہ عنہ ke sathi hain Lehaza Abraha our uske sathi ko Hathi ka sathi kaha gaya hai yani wo Hathiyon se bhi kam darje ka hai Qki jab un logon ne hathiyon ko Mecca Sharif ki taraf chalana chaha to hathi baeth gaye our unki Hazar koshish ke bawajud Mecca ki taraf ek qadam bhi nahi chale isse ye malum hua ki Hathiyon ko ye samajh thi ki Rab ki nafarmani me Logon ke Hukm par nahi chalna chahiye Lekin Abraha our uske lashar is Moarfat se khali the.


DUSRI AAYAT


اَلَمۡ یَجۡعَلۡ كَیۡدَهُمۡ فِیۡ تَضۡلِیۡل۝

TARJAMA

  Kya usne unka dao tabahi me na dala 

TAFSIR


      Is Aayat me كَید ka zikr hai our iska mana hai ki kisiko khufiya tariqe se taklif pahunchana 

Isme ye etraz kiya jata hai ki Abraha our uska lashkar to elaniya (Khule aam) jang karne aaye the to unke liye ye lafz kyu istemal kiya gaya hai 

Jawab ye hai ki wo Agarcha khule aam kaha karte tha ki kaba ko giraenge lekin wo dil me Kaba Sharif ki tazim se jalte the our hasad karte the our uski ye khahish thi ki jo Tazim Khanaye kaba ki ho rahi hai wo unke banaye huye kalisan ki, ki jaye

TISRI AAYAT 


وَّ اَرۡسَلَ عَلَیۡهِمۡ طَیۡرًا اَبَابِیۡلَ۝

TARJAM



Our un par parindon ki tukdhiyan bheji

TAFSIR 


Is aayat me اَبَابِیل ka lafz likha hai jiska mana hai kai tarah ke parinden jo sath mil kar udhte hain our udhne me ek dusre ki paerwi karte hai, Hazrate Ibne Abbas رضی اللہ عنہ ne Farmaya ki Jo parinde jhund bana kar aaye the unki sund bhi thi our unke panje bhi the ye parinde sabz, zard ya syah rang ke the our ye samundar ke janib se aaye the our inke munh our panjon me kankar the
       (📚Jameul Bayan)


CHOTHI AAYAT


تَرۡمِیۡهِمۡ بِحِجَارَةِ مِّنۡ سِجِّیۡلٍ۝

TARJAMA


ki unhe kankar ke paththaron se marte 


TAFSIR


Is Aayat me سجیل ka lafz hai Hazrate Ibne Abbas رضی اللہ عنہ ne farmaya سجیل ka lafz farsi me sang our gil dono ka majmua hai yani wo kankariya mitti ki bhi thi our pathar ki bhi thi 
      (Jameul bayan)
Hazrate Ibne Masud رضی اللہ عنہ Farmate hain ki jis shakhs ke kisi janib wo kankar lagta to uski muqabil janib se nkal jata 

PANCHWI AAYAT


فَجَعَلَهُمۡ كَعَصۡفٍ مَّاۡكُوۡلٍ۝

TARJAMA


To unhe kar dala jaese khai kheti ki patti

TAFSIR


Is aayat me عصف ka lafz hai iska mana hai Bhusa wagera jo hamare Janwar istemal karte hain 
Jao wagera ke dane se jab chilke alag kar liya jaye to to us chilke ko bhusa kahte hain our yahan yahi murad hai Janwar jab bhuse ko kha leta hai to use jogali karke use our pista hai matlab ye hai ki jis tarah janwar ka khaya hua bhusa bilkul reza reza hota hai usi tarah kankariyan lagne ke bad uske jism bilkul gal kar reza reza ho gaye the.



ETRAZ:-


Is Surat par logon ke Etraz:-

Kaba me buton ko pujne walon ko Allah ne foran saza kyun nahi di our Abraha ko foran saza kyu diya gaya 

JAWAB:-


      Ulmae karam iske jawab me farmate hain ki iska ek jawab ye hai ki Kaba Sharif me but parasti karne wale Rab ke haq me kami karte the our Kaba ki diwar girane me Makhluq ke haq me kami thi our baz oqat Makhluq ke haq me kami ko bardasht nahi kiya jata hai jaese Daku ya Qatil ko Qatl kar diya jata hai agar cha wo Musalman hi kyu na ho makhluq ko taklif pahunchane ki wajah se unhe qatl kar diya jata hai agar cha wo Rab ki ibat kyu na karte ho, Our jang me jo Kafir budha ho ya andha ho ya bacha ho ya orat ho usko Qatl nahi kiya jata agar cha wo khuda ki iabadat nahi karte lekin wo makhluq ko taklif nahi pahunchate is liye unhe qatl nahi kiya jata hai is liye Kaba Sharif ki ke andar buton ko pujne walon ko foran saza nahi di gai our Kaba Sharif ko Dhane ka irada Karne wale Abraha our uske lashkar ko foran saza di gai

Dusra jawab ye hai ki jo loog Kaba sharif me But parasti karte the wo loog agar cha Mushrik the lekin khuda ke ghar ki tazim karte the our uska tawaf karte the our unki niyat khanae Kaba ki Tazim thi is liye Allah ta-aala ne unke azab ko aakhirat me rakha hai our duniya me moakhkhar kar(Tal) diya hai Abraha our uske lashkar ki niyat Khanaye kaba ki Tohin karne ki thi is liye Allah Rabbul Izzat ne unhe duniya me hi parindon se halak kara diya


واللہ علم بصواب 





No comments:

Post a Comment

Aapke comments hame milenge our aapko uska replay bhi diya jaega aap apni bat likh sakte hain

THANK U 🌹

Pages