Surah Maun ki sahi jankari

 


Surah Maun ye Quran pak ki ek surat hai aap yahan is Surat ke Name Our nazil hone ke bare me padh sakte hain sath hi ye bhi bataya jayega ki is surat ka pichli surat se kya talluq hai nez is surat me Allah Rabbul Izzat ne kya bayan farmaya hai 

 

  Sura maun ki wajah tasmiya (Name rakhne ki wajah):-


Is surat ka name Maun (الماعون) hai kyunki is surat ki aayat number 7 me Maun ka lafz hai Maun ka matlab istemal ki mamuli chiz


Surah Maun Makki ya Madni:-

Jamhur ka qol hai ki ye Surat makki hai Hazrate ibne abbas رضی اللہ عنہ ne kaha ye surat Madni hai our ek qol hai ki is surat ka nisf (aadha hissa) Makka me Aas bin wail ke mutalliq nazil hua our is surat ka baqi nisf (aadha hissa) Abdullah ibne ubai Munafiq ke mutalliq nazil hua hai 

                 (Ruhul Mani)

Is Surat ka Shumar Makki Suraton me hi hota hai

Surah Maun tilawat ke etbar se 107 Number par hai our Quran pak me likhne ke etbar se 17 Number par hai


Pichli Surat se talluq:-

Isse pahli Surat Surah Quraish me Allah Rabbul izzat ne un logon ki muzammat ki thi jo Allah Rabbul izzat ka Shukr nahi adaa karte the our isme un logon ki Muzammat farmai hai jo miskin ko khana khilane ki targib nahi dete the 

Dusri wajah ye hai ki Surah Quraish me Allah Rabbul izzat ne hukm diya tha Khanae Kaba ke Rab ki iabadat karen our is Surat me un logon ki galati batai gai hai jo Allah Rabbul izzat ki Ibadat to karte hain lekin susti our kahili se namaz padhte the 

Tisri wajah ye hai ki Allah Rabbul izzat ne Quraish ko di hui niamat batai our wo uske bawajud marne ke bad dobara uthne ka inkar karte the our aakhirat me jaza our saza ka inkar karte the our is surat me Allah Rabbul Izzat ne aese logon ko apne azab se daraya hai


Is surah me byan hai:-

Is surat ki shuruat Makki hai yani is deen ko jhutlane wale kafir ka zikr hai our is surat ka aakhir Madni hai yani is me istemal ki mamuli chiz dene se mana karne wale munafiq ka zikr hai

Is surat ke shuru me Deen ko jhutlane wale kafir ka zikr hai our uski do sifate zikr farmai hai 

1 Peheli sifat ye ki wo yatimon ko dhutkarta hai 

2 Dusri sifat ye ki wo logon ko yatim ke khilane par nahi ubharta hai 


Is surat ke aakhir me Munafiq ke bare me bataya gaya hai our unki 3 sifat ka zikr hai 

1 Pehli sifat ye hai ki wo namaz se gaflat karta hai our susti our kahili se namaz padhta hai 

2 Dusri sifat ye hai ki wo logon ko dikhane ke liye ibadat karta hai 

3 Tisri sifat ye hai ki wo apne padhosi ko istemal ki mamuli chiz dene se bhi mana karta hai 


Is surat me Allah Rabbul izzat ne kafir our mumin dono ko apne azab se daraya 

      



No comments:

Post a Comment

Aapke comments hame milenge our aapko uska replay bhi diya jaega aap apni bat likh sakte hain

THANK U 🌹

Pages