Etkaf ki kitni qismen hain ?

 



Etkaf ki 3 Qismen hain 


1 WAJIB : Wajib etkaf wo hai ki etkaf ki mannat mani ho yani zuban se kaha ho sirf dil ke irade se etkaf wajib nahi hota hai 


 2 SUNNAT'E MOAKKEDA : Sunnat'e Moakkeda wo hai ki Ramzan ke pure Ashre aakhirah yani Aakhir ke din me etkaf kiya jaye yani biswe Ramzan ko suraj dubte waqt ba niyat etkaf masjid me ho our tiswe ke gurub ke baad ya untiswe ko chand hone ke baad nikle agar biswe tarikh ko baad   namaze magrib etkaf ki niyat ki to sunnate moakkeda adaa na hui 


NOTE = Ye etkaf sunnate kfaya hai ki agar sab ne chodh diya to sabse mutalba hoga our sheher me ek ne kar liya to sab bariyuzzima ho jayenge 



3 MUSTAHAB : Mazkurah dono etkaf ke alawa jo etkaf kiya jaye wo Mustahab wa sunnate gaer moakkeda hai jaese masjid me etkaf ki niyat se dakhil hona wagera 


No comments:

Post a Comment

Aapke comments hame milenge our aapko uska replay bhi diya jaega aap apni bat likh sakte hain

THANK U 🌹

Pages