Bager uzr masjid se nikalne par etkaf fasid ho jata hai
Agar dubne ya jalne wle ko bachane ke liye ya gawahi den ke liye ya jihad ke liye logon ka bulawa aaya our etkaf karne wala bhi nikla ya mariz ki ayadat ya namaze janaza ke liye gaya to is sab suraton me etkaf fasid ho jayega
NOTE = Agar Etkaf ki mannat mante waqt ye shart karli ki mariz ki eyadat ke liye our namaze janaza ke liye ya majlise ilm me hazir hoga to ye shart jaiz hai ab aga is kamon ke liye gaya to etkaf fasid nahi hoga leki is shart ka sirf dil me irada kiya to na hoga zuban se kehna zaruri hai
Pakhana peshab ke liye gaya tha our qarz khwah ne rok liya to etkaf fasid ho jayega
etkaf ki halat me wati karna orat ka bosa lena ya chuna, gale lagana haram hai jema se etkaf fasid ho jayega chahe inzal hua ho ya nahi qasdan ho ya bhule se masjid me ho ya bahar, Raat me ho ya din me mutlaq jema se etkaf fasid ho jayega
Our jema ke alawa me oron me agar inzal ho to fasid ho jayega warna nahi
NOTE = Ehtalam ho gaya ya khayal jamane se inzal ho gaya to etkaf fasid na hoga, Moatakif ne bhul kar kha liya to etkaf fasid na hoga
No comments:
Post a Comment
Aapke comments hame milenge our aapko uska replay bhi diya jaega aap apni bat likh sakte hain
THANK U 🌹