*🌸JAWAB➡Duniya ki zindagi me Allah ta'aala ka didar Huzur ﷺ ke sath khas hai our koi nahi dekh sakta hai our aakhirat me ( Qayamat me) har sunni musalma dekhega jesa ki Quran'e pak me farmaya gaya hai*
*وُجُوہ یَّومَٸِذٍ نَّاضِرَة اِلٰی رَبِّھَا نَاظِرَة*
*پ ٢٩ ، س القیامة*
TARJAMA'E KANZUL IMAN => Kuch munh (chehre) us din taro taza honge apne Rab ko dekhte*
TAFSEER=> Allah tala ke neamat wa karam par masrur chehron se anwar taban (Khuda ke neamat wa karam se khuch chehren shad yani unse khushi zahir hogi our chehron me ronak hogi) ye muminin ka hal hai unhe didar'e ilahi se sarfaraz farmaya jaega*
MASLA=> is ayat se sabit hua ki aakhirat me muminon ko didar'e ilahi meyassar aayega yahi ahle sunnat ka aqida hai Qur'an wa ahadis wa ijma ke dalail isi pat qaem hain (Qur'an our hadis se is bat ka subut milta hai our tamam ulma ahle sunnat is bat par yaqin rakhte hain) our ye didar bila kef our be jahat hoga (didar ke liye koi jagah ya simt nahi hogi)*
*واللہ اعلم بالصواب*
*Ab rahi ye bat ki khab me didar ke bare me to ye our dusre ambiya علیہم السلام our Auliya'e karam ko bhi hasil hai our hamare imam, imame aazam رضی اللہ عنہ ko khawab me 100 martawa zyarat hui hai (منح الروض الازھر)*
*سبحان الله*
ماشاءاللہ
Beshak ye kaha gaya hai ki ham namaz is tarah padhen ki ham Allah ta aala ko dekh rahe hain ye namaz me dil jamane ke liye kaha gaya hai yahan dekhne ka MATLAB ye hai ki khuda ki khas tajalliyat ki taraf mutawajjah hon our hame dekhne ke liye kaha gaya hai yani ki ham dil me ye khayal karen ki khuda ki jalwon ki taraf gor Karen uski qudrat par goor Karen to namaz me khayal idhar udhar nahi jaega is liye kaha gaya hai ki
Jab namaz ke liye khade hon to sajde ki jagah ko dekhen ki ham rab ke huzur khaden han to ba'adab nazre nichi hon our jab Bethe to god ki taraf dekhen ki hamari god khali hai is tarah namaz me aajizi our inkesari peda hogi our jab sajda Karen to nak ki taraf dekhe our ye khayal Karen ki Marne ke bad sabse pehle hamari nak hi khatm hogi Jo kuch hai Sab khatm ho jaega siwae hamare aamal ke kuch nahi rahega hamare sath
ye khuda ki qudrat ki taraf mutawajah ho kar namaz padhna hua isi tarah hazrat Abu bak siddiqرضی اللہ عنہ ne farmaya ki mene rab ko madine ki galiyon me dekha iska yahi MATLAB hai ki Hazrat ne madine ki galiyon me rab ki tajalliyon ko dekhe na ki rab ko our kaha jata hai ki rab rat me aasmane duniye me logon se irshad farmata hai ki hai koi mangne wala ki me use dun to yahan bhi yahi murad hain ki rab ki khas tajalli hoti hai aasmane duniya me rat ke waqt
📝NOTE > Tamam baton ka yahi nichod hai ki rab ki qudrat par apna dhayan le jae our namaz ke arkan ko itminan se ada kare na ye ki usko tasauur Karen qki rab makan jehat se pak hai ( kisi jagah ho ya kisi taraf ho rab isse pak hai)
واللہ اعلم بالصواب
*Rab ka didar qayamat ke roz hoga lekin ye nahi keh sakte ki kese dekhenge ham kisi chiz ko dekhte hain to vo hamse kuch dur ya nazdik hota hai hamare aage piche ya daye baye kisi janib hota hai lekin Rab in sab chizon se pak hai to ab sawal ye hai ki ham kese dekhenge to jawab yahi hai ki ان شاء اللہ jab dekhenge malum ho jaega bas abhi itna hi samjhen ki jahan tak aql pahunchti hai wo khuda nahi our jo khuda hai us tak aql nahi pahunch sakti hai*
*📚HAWALA📚*
*📖Bahare shariyat Hissa 1*
*📝NOTE=> Qayamat ke din khuda'e ta'aala ke didar se inkar karna kufr hai*
*✍Binte Mohammad Noor Alam (Assam)*

No comments:
Post a Comment
Aapke comments hame milenge our aapko uska replay bhi diya jaega aap apni bat likh sakte hain
THANK U 🌹