🌺➡Kya Jin Haqiqat me hote hain❓




🌸➡Ji han Jin bhi khuda ki peda ki hui ek makhluq hai Khud Rab Qur'an pak me farmata hai

وَ الْجَآنَّ خَلَقْنٰهُ مِنْ قَبْلُ مِنْ نَّارِ السَّمُوم 
(پارہ ١٤ سورة الحجر)
➡TARJAMA=> Our jin ko usse pehle banaya be dhue ki aag se
  
➡Ye Aag se peda kiye gae hain inme se kuch ko ye taqat di gai hai ki Jo shakl chahe ban jae
➡Inki umar bahot lambi hoti hai
➡Inme Jo sharir hote hain unko shetan kehte hain
➡ Insan ki tarah inke jism hote hain ye peda hote our bade hote hain khate , pite our marte hain
➡Inme musalman, kuffar (Hindu), bad mazhab bhi hote hain lekin inme kuffar our bad mazhab insanon se zayada hote hain
➡Jinno me se kuch jin hamare Huzur ﷺ ke ummati me se bhi hain jesa ki taif se wapasi ke waqt jab Huzur ﷺ batne nakhla pahunche Jo ki makka se ek din ke raste par hai to aapne rat wahan qayam farmaya our jab aap namaz'e fajar me Qur'an'e pak ki tilawat farma rahe the to wahan se maqame nenwa ke 7 ya 9 jin ka guzar hua wah Qur'an pak ki tilawat sun kar ruk gae our jab Huzur ﷺ namaz se farig hue to wah zahir hue Huzur ﷺ ne unhe Islam ki dawat di to unhone foran Qubul kar li our apni Qom me ja kar apne sathiyon ko Islam ki dawat di سبحان الله isi waqye ka zikr Qur'an'e pak me bhi kiya gaya hai

واِذ صَرَفنَا اِلَیکَ نَفَراً مِّنَ الجِنّّ یَستَمِعُونَ القُرآن    پارہ ٢٦ ع ٤ سورة احقاف
➡TARJAMA=> Our jab ki tumhari taraf hamne kitne jin bheje kan laga kar Qur'an sunte

📌Jin ke wajud (Hone) ka inkar karna kufr hai

            📚HAWALA📚
   📖Aam kutub fiqah

📝NOTE=> Rab ne bahot si esi makhluq peda ki hai Jo hamare samne hote hue bhi hame nazar nahi aati unhi mese ek jin bhi hai
واللہ اعلم بالصواب

        _Dua ki talabgar_
       
       ✍Binte Mohammad Noor Alam (Assam)

No comments:

Post a Comment

Aapke comments hame milenge our aapko uska replay bhi diya jaega aap apni bat likh sakte hain

THANK U 🌹

Pages