🌸JAWAB➡ Ji han👇
HADIS'E pak me hai ki
➡ Jab banda jhut bolta hai to us jhut ki badbu ki wajah se farishte 1 mil dur chale jate hain
📚Tirmizi Sharif
➡ Jis ghar me tasweer ya kutta ho us ghar me rehmat ke farishte nahi aate hain
📚Bukhari sharif
📌 Ab tasweer ya kutta wo hon jiska rakhna haram hai lekin wo kutta jiska rakhna haram nahi jese shikar, khet ya janwaron ki hifazat ke liye rakha gaya kutta our wo taswir jiska rakhna haram nahi jese bejan tasweeren ya kisi ese insan ki tasweer ho ki uska sar kata ho to wo bhi ab bejan tasweer ke hukm me hai uska rakhna jaiz hai
➡HADIS'E PAK=> Sabse zyada azab roze qayamat un par hoga Jo jandar ki tasweer banate hain
📚Fatawa Rizwiya
➡HADIS'E PAK=> Jo shakhsh jandar ki tasweer banaega to Khuda'e ta aala bil yaqin (Yaqin ke sath) use azab dega yahan tak ki wo apni banai hui tasweer me Jan dal de our ye haqiqat hai ki wo usme kabhi Jan nahi dal sakega (Is liye azab ka hona yaqini hai)
📚Bukhari Sharif
📌Koi Shar-i zarurat ho to tasweer nikalwa sakte hain our nikalwane ka maqsad apne upar se us harj zarurat ko dur karna ho jese passport rashan card exam me etc.
📚Fatawa razwiya
📌Jandar ki tasweer Jo ki mukammal na ho wo be Jan ke hukm me hain jese bager sar ke sirf jism ki tasweer ho ya ungliyon ki ya hath, per ki ho to jaiz hai
📚Fatawa nuriya
📌Huzur tajush shariya ka farman hai ki TV our video ka istemal haram bad kam our bad anjam hai
Usse bachna wajib hai Dawate Islami our sunni Dawate Islami dono maslake aala Hazrat ke khilaf hain is liye unse dur rahne hi me din ki salamati hai our me apne tamam muridon ko hukm deta hun ki TV our video se bache our gharon se dur Karen our toba Karen our maslake aala Hazrat par gamezan rahe our Jo mere in ehkam ki Tamil karega wahi mera murid hai our Jo in se rugardani karega (Amal nahi karega ) wo meri muridi se kharij (nikal gaya) hai
📚Fatawa bareily sharif
📌kisi jandar ki tasweer par سبحان الله ماشاءاللہ kehna bhi najaiz wa haram hai
📚 ba qol Huzur Tajushariya
📌Tasweer banana ya banwana dono haram hai chahe wo hath se ho ya aksi (Camera) ke zariya ho
📚Bahare shariyat
📌Our kapde par jandar ki tasweer ho to use pahan kar namaz kadhna makruh tehrimi hai our namaz ke alawa bhi esa kapda pahanna najaiz hai
📌Aaine ke samne namaz padhna jaiz hai is liye ki wo tasweer nahi balki kuch sheaye hain Jo wapas Lotti hain to agar namazi ke piche koi shakhs ho our uski shakl us shishe me nazar aae to namaz ho jaegi lekin agar namazi ke piche TV ya video se kisi jandar ki tasweer namazi ke samne shishe me nazar aae to namaz nahi hogi Qki TV video me nazar aane wali shakl tasweer ke hukm me hai shishe me nazar aane wale chehre ki tarah nahi hai
📚fatawa markaz tarbiyate iftah , fatawa amjadiya, TV video ka operation by Huzur Tajushariya
📌Mazhabi program ho ya koi urs ho ya koi haj karne jae ese moqe par bhi tasweer video najaz wa haram hai our use TV par dikhana our bhi zada sakht gunah hai ki is tarah dini program ki behurmati karna hua jisse bachna lazim wa zaruri hai
📚Fatawa faqih millat
📚HAWALA📚
📖Aam kutub fiqah
📝NOTE=Oraten photo video se zada parhez Karen ki tasweer nikalwane ka ek gunah Our fir us tasweer Ka ger mahrum mardon ke samne lane ka ek alag gunah
Tablig ke liye Video ya tasweer koi khas zarurat ki chiz nahi ki uske bager kam na ho sakega, our nahi umume balwa ki wajah se (Zada istemal hone ki wajah se) haram kam jaiz ho jata hai Dini tablig Audio ke zariye bhi kiya ja sakta hai
واللہ اعلم بالصوب
_Dua ki talabgar_
✍Binte Mohammad Noor Alam (Assam)
No comments:
Post a Comment
Aapke comments hame milenge our aapko uska replay bhi diya jaega aap apni bat likh sakte hain
THANK U 🌹