Huzur ﷺ Ke zamane me Qurane Pak kyu ek jagah nahi likhi gai ❓




Quran Huzur ﷺ ke zamane me ek jagah na likhne ki kai wjuhat hain kuch yahan likhe ja rahe hain

1. Ashabe Rasul ﷺ Tablige deen our Jehad wagera me Kafi Masruf rehte jiski wajah se unhe waqt nahi milta ki mukammal Quran Pak ek jagah likhte

2. Quran Pak Huzur ﷺ ke Parda farmane se kuch Roz pehle tak nazil hoti rahi jis wajah se Huzur ﷺ ke parda farmane se pehle mukammal likhna mumkin na tha

3. Quran pak Ashabe Rasul ﷺ ko mukammal yad thi is wajah se unhe likhne ki zarurat mehsus nahi hui

    lekin Huzur ﷺ ke parda Farmane ke bad Huffaz (Quran pak yad karne wale) Jehad wagerah me shahid hone lage to Hazrate Umar رضی اللہ عنہ ne Kilafate Siddiqi ke zamane me Hazrate Abu Bakr Siddiq رضی اللہ عنہ ko ye Mashwara diya ki Huffaz Shahid hote ja rahe hai agar ayesa hi hote raha to Quran pak duniya se khatm ho jayega our aage iska padhne wala koi na rahega lehaza Quran pak ko ek jagah Likh deni chahiye lehaza Hazrate Abu Bakr Siddiq رضی اللہ عنہ ne Hazrate Zed bin Sabit رضی اللہ عنہ  jo ki Huzur ﷺ ke zamane me huzur  ﷺ ke hukm se Quran pak likha karte the unhe hukm diya ki Tamam nuskho ko jama kare fir Kuch Ashabe Rasul ﷺ ne mil kar sabhi nuskho ko jama kiya our ek nuskha taiyyar kiya gaya joki Abu Bakr Siddiq ke pas fir Hazrate Umar Faruq رضی اللہ عنہما ke pas  raha fir Huzur ﷺ ki zojah Mohtarma Hazrate Hafsa رضی اللہ عنہا Ko de diya gaya 

No comments:

Post a Comment

Aapke comments hame milenge our aapko uska replay bhi diya jaega aap apni bat likh sakte hain

THANK U 🌹

Pages