Quran ka kya meaning hai❓




Lafze Quran ke meaning:-


Lafze Qur'an Qara (قرء) se bana hai ya Qar-at (قرأۃ) se ya Qarn (قرن) se bana hai

Qara (قرء)⇛ Jama hona

Qar-at (قرأۃ)⇛ Padhi hui chiz

Qarn (قرن)⇛ Sath rahna

Qara (قرء)⇛ Jama hona:-
        Ab agar Ham Qur'an ko Qara (قرء) ke mane me len to ye bhi durust hai Qki Quran me Tamam Jahan ka ilm jama kiye gaye hain duniya me koi esa ilm nahi jo Quran me mojud na ho
   Our is etbar se bhi durust hai ki ye Duniya ke sabhi logon ko jama karta hai ki koi bhi insan kahi ka bhi ho Hindustan, America ya Pakistan sabhi ko ek name diya Musalman

Qar-at (قرأۃ)⇛ Padhi hui chiz :-

Agar Qar-at ka mana le to bhi durust hoga Qki  Quran pak se pehle jitni kitaben aai hain wo itni nahi
Padhi gai jitna ki Quran pak padha gaya our loog ek bar nahi kai bar padhte fir bhi dil nahi bharta ماشاءاللہ Our ek wajah ye bhi hai ki  Quran pak se pehle jitni kitaben aai hain wo sabhi likhi hui aai our Quran Karim ki ye shan hai ki ye kitab padha hua utra ki Jibrail علیہ السلام aate our padh kar sunate our padha hua likhe hue se kai mano me afzal hai Qki bolne ke tariqe se itne mane (Meaning) ban jate hain jo likhne se hasil nahi hote hain Example agar ham kisise kahe ki tum Saudia Jaoge ab agar ham lehja badal kar bolenge to kai mane (Meaning) Ban jayenge jese Sawal puchna, Mazak banana, Tajjub karna wagera

Lehaza koi Qurane karim ko us tarah nahi jan sakta hai jesa ki Huzur ﷺ Jane our samjhe qki Sirf huzur ﷺ hi hain joki Hazrate Jibraile ami ki zubani sune

واللہ اعلم بالصواب

Qarn (قرن)⇛ Sath rahna:-

Agar Qarn ka mana (meaning) Qarn le to ye bhi durust hai qki ye kalam duniya ke sabhi logon ko ek sath kar diya sath hi ye wo kitab hai ki jisme sabhi aayate ek dusre ke sath hai koi aayat ek dusre ke mukhalif nahi hai our ye wo kitab hai ki ye har waqt musalmanon ke sath rehta hai duniya me qabr me our aakhirat me bhi rahega ki hashr me khuda se bakhshwayega apne padhne walon ko, pulsirat me noor ban kar musalmanon ke aage aage chalega our rasta dikhayega our jo jannat me jayega to wahan bhi is kalam'e pak ko padhega سبحان الله

No comments:

Post a Comment

Aapke comments hame milenge our aapko uska replay bhi diya jaega aap apni bat likh sakte hain

THANK U 🌹

Pages