Hazrate Usman Gani ke khilafat ke Zamane me Quran ke Talluq se kaesa ikhtelaf hua






Huzur ﷺ ke parda Farmane ke bad Huffaz (Quran pak yad karne wale) Jehad wagerah me shahid hone lage to Hazrate Umar رضی اللہ عنہ ne Kilafate Siddiqi ke zamane me Hazrate Abu Bakr Siddiq رضی اللہ عنہ ko ye Mashwara diya ki Huffaz Shahid hote ja rahe hai agar ayesa hi hote raha to Quran pak duniya se khatm ho jayega our aage iska padhne wala koi na rahega lehaza Quran pak ko ek jagah Likh deni chahiye lehaza Hazrate Abu Bakr Siddiq رضی اللہ عنہ ne Hazrate Zed bin Sabit رضی اللہ عنہ  jo ki Huzur ﷺ ke zamane me huzur  ﷺ ke hukm se Quran pak likha karte the unhe hukm diya ki Tamam nuskho ko jama kare fir Kuch Ashabe Rasul ﷺ ne mil kar sabhi nuskho ko jama kiya our ek nuskha taiyyar kiya gaya joki Abu Bakr Siddiq ke pas fir Hazrate Umar Faruq رضی اللہ عنہما ke pas  raha fir Huzur ﷺ ki zojah Mohtarma Hazrate Hafsa رضی اللہ عنہا Ko de diya gaya

Fir Khilafate usmani ke zamane me huzefa ibne Iman رضی اللہ عنہ  jo ki Aarminiya our Aazir-Baejan ke kuffar se Jang farma rahe the jab wahan se Fariq hue to Hazrate Usmane Gani رضی اللہ عنہ ki khidmat me hazir huye our arz kiye ki "Aye amirul Muminin Logon me Quran Pak ke Mutalliq Ekhtelaf Shuru ho Gaye hain agar ye ikhtelaf badhte rahe to Musalmanon ka hal yahudi our nasara ki tarah ho Jayega Lehaza iska jaldi koi intezam kijiye"

Ekhtelaf ki wajah ye thi ki ji waqt Huzur ﷺ par Quran pak nazil hoti us waqt jo Ashabe karam Quran pak likha karte the wo Usme wo bate bhi likh liya karte the jo Huzur ﷺ Quran ki aayat ke bare me samjhate the Tafsir ke tor par our Bad ke loog un baton ko bhi Quran ki Ayat samajh liye the

Fir Hazrate Usman Gani رضی اللہ عنہ Zed bin Sabit رضی اللہ عنہ ko hukm diya ki Hazrate Hafsa رضی اللہ عنہا se wo nuskha le Aaye uske bad huffaze Quran ke hifze Quran se Makammal Tahqiq ke sath muqabla karaya gaya uske bad 6se 7 nuskhe our likhe gaye our ye nuskhe Iraq, Sham, Misr our dusre islamic Mulk me bhej diya gaya our asl nuskha hazrate Hafsa رضی اللہ عنہا ko wapas kar diya gaya

Our jin nuskho se ikhtelaf ho raha tha jisme Quran ki Aayat our Wo bate jo Huzur ﷺ ne batore tafsir farmaya usme likhi hui thi un sabhi nuskho ko mangwa kar jala diya gaya taki aage chal kar fir se ye ikhtelafat peda na ho jaye

No comments:

Post a Comment

Aapke comments hame milenge our aapko uska replay bhi diya jaega aap apni bat likh sakte hain

THANK U 🌹

Pages