Quran pak Huzur ﷺ Par kyu nazil hua❓





Allah Rabbul Izzat gaere nabi (Nabi ke alawa dusre log) se kalam nahi farmata is liye usne apne khas
Bande Huzur Mohammad ﷺ par Quran nazil farmaya iski kai hikmaten hain

Agar Allah Rabbul izzat sirf kisi farishte ke zariye hi tamam logon tak apne ehkam pahunchata to bando ko samajhne me kafi dushwari hoti qki banda sirf sunega ki kaese namaz padhni hai our kaese roza rakhna hai wagera lekin wahi agar banda dekh le kisi apne jaese insan ko namaz padhte hue our roza rakhte hue to aasani se samajh sakta hai ki kaese roza rakhna hai our kaese namaz padhni hai is liye apne pyare nabi ﷺ ko insano me hi insani shakl me bheja taki logon ko samajhne me aasani ho

Agar Allah Rabbul Izzat har shakhs tak khab ke zariye apne ehkam pahunchata to logon me ikhtelaf ho jata har shakhs ek jaesi samajh nahi rakhta to jo jaesa samjhega amal karega isse Deen par amal karna mushkil ho jata is liye Allah ne apne khas bande ko duniya me bheja our sirf unke zariye hi logon tak Deen pahunchaya

واللہ اعلم بالصواب


No comments:

Post a Comment

Aapke comments hame milenge our aapko uska replay bhi diya jaega aap apni bat likh sakte hain

THANK U 🌹

Pages