Quran pak ke Fayeden kya kya hai ?




Quran pak ke jo bhi fawaid hain wo sabhi Fayede kisiki zuban ya dil-o-dimag nahi kar sakta hai Quran pak ko padhne wala Quran se kai tarah se fayede hasil kar sakta hai agar koi tibbi fayede ke liye Quran ki tilawat karta hai to use tibb ke talluq se dhero fawzid hasil honge our agar koi fiqh ke talluq se fawaid hasil karna chahe to Fiqah ke talluq se use dhero fawaid mil jayenge garz ki insan kisi bhi etbar se Quran me Fawaid talash kare to use mil jayenge our agar koi kisi bhi tarah ke marz me mubtala ho our us par Quran ki Ayaten padh kar dam ki jaye to isse bhi wo Shifayab ho jayega qki Quran ki Aayton me itni tasir hai itni barkate hain ki jis munh se Quran ki ayaten padhi jaye us munh agar kisi par Dam kiya jaye to wo shifayab ho Jata hai jaesa ki Ashabe karam agar kisiko Sanp kant dete to us par Quran ki ayaten padh kar dam karte the


Agar Quran sirf is liye hota ki is par Amal kiya jaye faqat to isme sirf ehkam ki ayaten hoti Allah Rabbul izzat ki zat wa sifat ka zikr na hota our kuch ayesi aayaten hai jo ki mutashabihat hain jinka mana Allah our uske Rasul ke siwa koi nahi janta to wo aayaten isme na hoti

No comments:

Post a Comment

Aapke comments hame milenge our aapko uska replay bhi diya jaega aap apni bat likh sakte hain

THANK U 🌹

Pages