Tafseer Our Shane Nuzul me kya farq hai?




TAFSEER = Tafsir ka Meaning Kholna hai yani ki Tafsir use kehte hain ki bat karne wale ka maqsad is tarah bayan karna ki jisme shak our shubah ki koi gunjaish na ho our Quran ki Tafsir ke bare me  Mufassirin ka Qol (kehna) hai ki Quran pak ke wo ahwal bayan karna jisme Aql ka koi dakhal na ho (Apni aql our apni samajh se kuch bayan na kare) balki  naqal ki zarurat ho jaese Aayat ka Shane Nuzul ya Kisi Aayat ka Nasikh our mansukh hona

Apni raye se Quran ki Tafsir bayan karna haram hai Qki Hadis Sharif me aaya hai ki jo shakhs Quran me apni raye se kuch kahe our thik bhi keh jaye jab bhi Khata kar hai

Tafsire Quran ke chand Martabe Hain

1 Quran ki Tafsir Quran se Ye sabse behtar hai

2 Quran ki Tafser Hadis se Qki Huzur ﷺ Sahibe Quran hai unki tafseer Nihayat Sahi our sabse behtar hair

3 Quran ki Tafser Sahaba'e Karam Our Kulfaye Rashidin رضی اللہ عنہم ke aqwal (Bat) se

4 Quran ki Tafser Tabain (jo apni zindagi me kisi sahabi'e Rasul ﷺ se mulaqat kiye ho) unke Aqwal (bat) se

SHANE NUZUL = Shane Nuzul se murad wo halat ya waqyat hain jinke hone se Quran ki Aayat nazil hui ho ayese waqyat ya halat ko Shane Nuzul kehte hai Quran ki Ayat ke Tafseer me Shane Nuzul ko ko ek aham our bunyadi kirdar hasil hai, Quran pak ke ilm se mutalliq kitabon me is par khas tawajjah di gai hai
      Quran ki tamam Ayat ke Shane Nuzul nahi hai Baz Ulmaye karam ne Un Ayat ki tadad 460 batai hai jo kisi Sabab se nazil hui
                         و اللہ اعلم بالصواب

No comments:

Post a Comment

Aapke comments hame milenge our aapko uska replay bhi diya jaega aap apni bat likh sakte hain

THANK U 🌹

Pages