Surah Fateha ke Fazail




Surah Fateha ke be shumar fazail hai yahan ham sabhi Fazail ek R kar saken hamare Qalam me itni usat nahi hai kuch fazail aapke nazar ki ja rahi hai mulaheza ho.....

Surahtul Fateha Quran muqaddas me sabse pehle likhi gai hai isi se wazeh hai ki Surah Fateha ke kitne Fazai hain ki ye Quran'e muqaddas me sabse pehle likhi gai hai jayesa ki pehle bhi bataya gaya hai ki Quran'e muqaddas usi tartib par hai ki jis tartib par Lohe mehfuz me hai to Lohe mehfuz me bhi Surah Fateha sabse pehle likhi gai hai


Surah Fateha pehli Aayat me lafz الحمد للہ me 8 huruf hain our jannat ke bhi 8 darwazen hain jab koi banda Quran padhne ki Shuruat karta hai wo shakhs Quran ki pehli aayat padh kar hi jannat ka mustahiq ho jata hai our aage jis qadar padhega Allah Rabbul Izzat ke Fazl-o-karam se uske Drajaat me our zayadti hogi

سبحان الله


Ahadis me Surah Fateha ke be shumar fazail hain kuch Fazail aapke nazar ki ja rahi hai

Huzur ﷺ ne farmaya ki Surah fateha har marz ke liye shifa hai

Huzur ﷺ ne Irshad farmaya ki Allah Ta'aala ne Torat ou injil me Ummul Quran ke misl koi surat nazil nahi farmai

Hazrate Abdullah ibne Abbas رضی اللہ عنہ farmate hain ek farishta aasman se nazil hua our usne Saiyyedul Mursalin صلی اللہ علیہ وسلم  ki bargah me Salam pesh karke arz kiya ki Ya Rasul Allah ﷺ Aapko un do nuron ki basharat ho jo aapke alawa our kisi nabi ko ataa nahi kiye gaye our wo 2 Noor ye  hain (1) Surah Fateha (2) Surah Baqra ki aakhri aayat

No comments:

Post a Comment

Aapke comments hame milenge our aapko uska replay bhi diya jaega aap apni bat likh sakte hain

THANK U 🌹

Pages