10. Fateha our Shirni (esale sawab) ka subut hadis se





          *🖲️𝐒𝐀𝐖𝐀𝐋  𝐍. {10}🖲️*

Baji fatiha lgate wqt kuch saman jese khana wgera samne rkha jata h fr fatiha lgai jati h to ky us khane ka ya pani ka swab bhi phunchta h ya Sirf jo pdhte h usi ka phunchta h
Bht se log mna krte h ese fatiha lgane se to ye shi h ya glt h

        ✍️Khatun'e islam

              *🔮JAWAB🔮*

*🏮 Fateha karna Ek kare kher (𝐁𝐞𝐡𝐭𝐚𝐫 𝐤𝐚𝐦) hai iska subut Hadise pak se  bhi milta hai*

Hazrate Sa-ad bin Abada رضی اللہ عنہ ne Huzur صلی اللہ علیہ وسلم  se arz kiya ki sa-ad  ki Maa ka inteqal ho gaya hai unke liye kon sa sadqa afzal hai ?
    Sarkare Mustafa صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya "pani"
 Sahabie Rasul ﷺ ne Kuwa khudwaya our Kaha ye kuwa Sa-ad ki maa ke liye hai yani iska sawab uski ruh ko padhunche
      📚Abu Daud

📌 Is Hadis se malum hua ki khane pine ki chizon ka sawab bhi murdon ko pahunchaya ja sakta hai

📌 Is hadis se ye bhi malum hua ki khana ko samne rakh kar sawab pahunchana jaiz hai jaesa ki Hazrate Sa-ad رضی اللہ عنہ ne Kuwa khudwa kar uske samne kaha ki ye kuwa Sa-ad ki maa ke liye

   lehaza agar khana banwa kar ye niyat ki jaye ki iska sawab falan marhum ke Qabr tak pahunche to ye bhi jaiz hai our sath me kuch Aayaten bhi padh kar aesal'e sawab karen to our behtar hai jaesa ki Fateha ka tariqa hai

Sahi Hadison se sabit hai ki nek Aamal ka murdon ko bhi sawab pahunchta hai our ye bhi hadison me aaya hai ki wo sawab pa kar khush hota hai our sawab pahunchne ka muntazir rehta hai to Quran Sharif our Kalma'e Taiyyeba padh kar sawab pahunchana achi bat hai
       📚Fatawa Razwiya


Jis tarah koi insan kisi garib ko khana khilata hai to uske namaye aamal me us khana khilane ka sawab pahunchta hai wese hi kisi Marhumin ke naam se kisi garib ko khana khilaye ya shirni wagera baten to uska bhi sawab Marhumin ko pahunchta hai

Our isi tarah zindon ko bhi sawab pahunchaya ja sakta hai jaese ki jab insan sadqa karta hai to uska sawab uske namae aamal me uski zundagi me hi likhi jati hai na ki uske mot ke bad
   📚 Aam kutub fiqah


🏮𝐒𝐚𝐦𝐧𝐞 𝐑𝐚𝐤𝐡 𝐤𝐚𝐫 𝐅𝐚𝐭𝐞𝐡𝐚 𝐤𝐚𝐫𝐧𝐞 𝐬𝐞 𝐦𝐚𝐧𝐚 𝐤𝐚𝐫𝐧𝐞 𝐰𝐚𝐥𝐨𝐧 𝐤𝐞 𝐥𝐢𝐲𝐞

Ab jo loog Fateha se ya shirni wagera samne rakh kar fateha karne se inkar karte hain unhe chahhiye ki aql se kam le
   Agar esale sawab na jaiz hota to Huzur ﷺ Usi waqt Sahabie Rasul ko ye faramate ki esale sawab unki zindagi me ho sakta hai ab wo duniya me nahi hain lehaza ab nahi pahunchaya ja sakta hai
      Lekin ayesa Huzur ﷺ ne nahi farmaya isse ye to zahir hua ki fateha(esale sawab) ko najaiz ya haram kahne wala Huzur ﷺ ke farman ka inkar karne wala hai نعوذ بااللہ
Our aese insan ke piche namaz nahi hogi
    📚Fatawa razwiya

Our Sahabiye Rasul ﷺ joki kuwa hi is niyat se banaye to ab banne ke bad fir us kuwe ke bare me ye kehna ki ye sa'ad ki maa ke liye ye is bat ki taraf bhi ishara hi ki jis chiz se esale sawab karna hai wo samne rahe to Bhi jaiz hai

Ab dekhiye esale sawab ke kai tariqe hain agar koi samne shirni wagera nahi rakhta balki dil me qasad karle ki jo ghar me esale sawab ki niyat se banaya gaya hai uska sawab marhumin ko pahunche to itna hi kafi hai
   Samne shirni rakhna zaruri nahi hai our nahi Rakhna najaiz ya gunah hai agar rakhe to bhi koi harj nahi hai balki ye hadise pak se sabit hai
    📚Aam kutub Fiqah

📝 Ab agar koi is liye samne shirni wagerah rakh kar fateha kare ki Sahabiye Rasul ne aesa kiya to apni niyat ke mutabiq sawab ka haqdar hoga  ان شاء اللہ

واللہ اعلم بالصواب

*✍️ 𝑆𝑎𝑏𝑖𝑙𝑎 𝐽𝑎𝑚𝑖𝑙 𝐴𝑚𝑗𝑎𝑑𝑖 𝑅𝑎𝑧𝑣𝑖*


*𝐂𝐎𝐑𝐑𝐄𝐂𝐓𝐈𝐎𝐍👇*

👑𝐌𝐨𝐡𝐭𝐚𝐫𝐦𝐚  𝐐𝐚𝐫𝐢𝐲𝐚 𝐀𝐚𝐥𝐢𝐦𝐚 𝐅𝐚𝐳𝐞𝐥𝐚 𝐌𝐮𝐟𝐭𝐢𝐲𝐚 𝐑𝐔𝐊𝐇𝐒𝐀𝐍𝐀 𝐀𝐦𝐣𝐚𝐝𝐢 𝐒𝐚𝐡𝐞𝐛𝐚👑

👑𝐌𝐨𝐡𝐭𝐚𝐫𝐦𝐚  𝐐𝐚𝐫𝐢𝐲𝐚 𝐀𝐚𝐥𝐢𝐦𝐚 𝐅𝐚𝐳𝐞𝐥𝐚 𝐇𝐀𝐁𝐈𝐃𝐀 𝐒𝐡𝐚𝐦𝐬𝐢 𝐑𝐚𝐳𝐯𝐢 𝐒𝐚𝐡𝐞𝐛𝐚👑

   ⚜️⚜️⚜️⚜️⚜️⚜️⚜️⚜️

No comments:

Post a Comment

Aapke comments hame milenge our aapko uska replay bhi diya jaega aap apni bat likh sakte hain

THANK U 🌹

Pages