Surah Fateha ki Tisri aayat
مٰلِكِ یَومِ الدِّینِ
Roze jaza la malik
Is aayat se pahle Dusri aayat me Rab ki Rahmat ka zikr hua jisse sunne wale ke dil me ummid ka dariya maoje marne lagi ab zarurat thi ki uske dil me Rab ka Khof peda kiya jaye Qki Iman Ummid our khof ke darmiyan hai
Khuda ke gazab se be khof ho kar bhi kai loog gunah me diler hue jaesa ki isaiyon ka aqida hai our apne gunah me zyadati kiye our kuch Na ummid ho kar bhi gunah me zyadati kiye jaesa ki aaryon ka aqida hai
Is tarah ki agar banda ye samjhega ki Rab Nihayat meherban hai hame hamare Gunahon par bhi giraft nahi farmata to isse bhi banda gunah me zyadati karega
Isi tarah Agar banda ye samjhe ki gunah ki koi mafi nahi hai to jab bande se koi gunah sarzad ho jaye to wo ye soch kar apne gunahon me izafa karega ki ab gunah ki mafi nahi hai to jab ye gunah sarzad hua hai ab saza milni hi hai lehaza our gunah kar le
Lehaza hame chahiye ki Ham Gunahon se bache ki Rab ki Giraft bahot sakht hai lekin agar koi gunah ho jaye to us par sharminda ho kar Mafi talab karke sachchi taoba karke Hamesha ke liye us gunah se bachne ki koshish karen
Is aayat me ye kaha gaya hai ki Rab Roze jaza ka malik hai halanki Rab to na sirf Roze jaza ka malik hai balki duniya ki har chiz ka malik hai
Lekin Roze jaza ka malik kehne ki kai wajah hai
Ek ye ki Duniya me kuch zahiri our aarzi malik bhi hain jaese kaha jata hai ki Hindustan ka malik falan hai ya Ghar ka malik falan hai lekin Qayamat ke din ye Zahiri our Aarzi malik bhi koi nahi hoga
Our Dusri wajah ye ki Badhe Malik ki taraf nisbat karne se us chiz ki izzat zahir hoti hai kaha jata hai ki is qayede se Qayamat ke din ki Azmat our hayebat zahir hoti hai ki wo khuda ka din hai Khuda Wand'e karim usi din ka malik hai isi liye sabke dil me us din ki hayebat hai usi din ki hayebat logon se nek kam karati hai our bure kamon se bachati hai
و اللہ اعلم بالصواب

No comments:
Post a Comment
Aapke comments hame milenge our aapko uska replay bhi diya jaega aap apni bat likh sakte hain
THANK U 🌹