Surah Fateha ki Dusri Aayat me Kis etraz ka jawab hai




Surah Fateha ki Dusri aayat
                الرَّحمٰن الرَّحِیم

Is aayah me kai etrazat ke jawab hain kuch etraz ka jawab yahan likhe ja rahe hain

1 Etraz
  Khuda Rahman wa Rahim hai to Dozakh ya taklif dah chizon ko kyun banaya

JAWAB
   Bahot ayesi Taklifen hain jo Rehmat ko zahir karti hain jo musibat kisi ewaz Rahmat ka zariye ban jaye wo Haqiqat me Rahmat hi hai Agar Taklifdah chizen na peda hoti to hamari ruh our jism ko puri taharat(Paki) nahi hasil hoti

Aaryon ka Aqida hai ki kisi gunah ki mafi nahi ho sakti uski saza zarur bhugatni padhegi ye Rahmat se mayus hue our gunah par diler hue qki Na ummidi bhi gunah par diler karti hai


Hamara Aqida hai ki Allah Rabbul izzat Apne bandon ko apni Rehmat se maf farmata hai agar koi banda gunah kare our fir apne gunah par nadim(Sharminda) ho our taoba kare to uske gunahon ko maf farmata hai


  

No comments:

Post a Comment

Aapke comments hame milenge our aapko uska replay bhi diya jaega aap apni bat likh sakte hain

THANK U 🌹

Pages