Surah Fateha ki Dusri Aayat
اَلرَّحمٰنِ الرَّحِیم
اَلرَّحمٰنِ الرَّحِیم
Bahot Meherban Rehem wala
Sabse pehle ye jane ki ye Aayat yahan Q lai gai❓
Iski Kai wajah hain kuch wujuhat aapke samne pesh karti hun
Ek ye ki pehli aayat me tha ki Rab tamam jahan ka palne wala hai ab yahan loog ye shak karte hain ki shayad Rab is palne par majbur ho yani usko palna padhta hai jaese badshah apni reaya ko palta hai lekin ye badshah yaha palne par majbur hai ki agar nahi palega to iski saltanat qayem nahi ho payegi
Lekin Rab ke palne me ayesi bat hargiz nahi hai to is aayat me Farmaya gaya ki wo Tamam jahan ko palne par majbur nahi hai Mahaz apni Rahmat se palta hai
Dusri wajah ye ki Palna kai tarah se hota hai ek ye ki Rahmat se pale our Dusra ye ki Qahar se jaese Badshah Qedi ko bhi palta hai our baqi logon ko bhi To yahan ye khabar di ja rahi hai Rab palta to hai magar Raham ke sath
Tisri wajah is tarah ki Hamd ka Raham ke Sath Khas Talluq hai jo Khuda ki Hamd karta hai Rahmat Zarur Pata hai
الرَّحمٰن ka ye mana hai ki is Qism ki Rahmaten farmane wala jo bandon se hasil na ho sake yani bila wasta bandon par Raham Farmane wala jaese Maa ke pet me bachche ki parwarish wagera
الرَّحِیم Ka ye man hai ki is Qism ki Rahmaten Farmane wala ki jiski misl kuch na kuch bandon se bhi hasil ho sake yani bandon ke waste se Raham Farmane wala Jaese Maa ka Bachon ki Parwarish karna wagera
No comments:
Post a Comment
Aapke comments hame milenge our aapko uska replay bhi diya jaega aap apni bat likh sakte hain
THANK U 🌹