Surah Fateha ki Panchwi aayat me iske etraz ka jawab hai




Aaryon ka etraz hai
  Is aayat me dua be moqa hai qki insan jo islam la chuka our namaz ke liye hazir ho gaya Quran ki tilawat Shuru kardi to Hidayat to use mil gai our mangi wo chiz jati hai jo hasil na ho lehaza lehaza ye hidayat mangna bilkul bekar hai

 JAWAB  Iska jawab aayat ki tafseer me ache tariqe se wazeh hai ki yahan hidayat se murad uspar qayem rakhna ya us par taraqqi dena dil ko durust rakhna ya musibaton me sabit qadam rakhna jaesa insan ho uske liye waesi hidayat kafir ke liye hidayat ye hai ki wo iman le aaye our Mumin ke liye hidayat ye hai ki taqwa ikhteyar kar le Muttaqi ki hidayat ye hai ki uspar qayem rahe lehaza jis qism ka tilawat karne wala hoga us ki Hidayat murad hogi
  Khayal rahe Ham bhi sidhe raste par hain yani us par chal rahe hain our Huzur ﷺ bhi sidhe raste par hain Jaesa ki Rab Farmata hai
اِنَّكَ لَمِنَ المُرسَلِنَ ۝ عَلیٰ صِرَاطٍ مُّستَقِیمٍ (Surah yasin)
 Beshak tum sidhi raste par bheje gaye ho

Rab bhi sidhe Raste par hai yani wo sidhe Raste par chalne se milta hai jaesa Rab Farmata hai Surah hud me

اِنَّ رَبِّ عَلیٰ صِرَاطٍ مُّستَقِیمٍ
Beshak mera Rab sidhe raste par milta hai

Lehaza Surah fateha me Dua be moqa nahi hai

Dusra etraz
   Ham bhi namaz me ye dua karte hain ki hame sidhe raste par chala Ambiya علیہم السلام our Aoliyae karam bhi yahi dua karte hain to hamme farq hi kya hai
JAWAB  Rasta sabka ek hai lekin Mazil sabki alag alag hai Hamare Raste ki inteha Aag se nijat hai Maqbulon ki inteha Jannat ka gilzar, Mahbubon ke raste ki inteha Didare Ilahi hai

Lehaza Hamme our Ambiya علیہم السلام our Aoliyae Karam me Manzil ka farq hai 

No comments:

Post a Comment

Aapke comments hame milenge our aapko uska replay bhi diya jaega aap apni bat likh sakte hain

THANK U 🌹

Pages