Surah Fateha ki panchwi 5 Aayat ki tafseer

  


 Surah Fateha ki panchwi 5 aayat     
                   اِهدِنَا الصِّرَاطَ المُستَقِیمَ
           Hamko sidha rasta chala

Is aayat ka talluq pichli aayat se kai tarah se hai
  Ek ye ki pehle zikr hua tha ki ham tujhse madad mangte hain ye malum nahi hua tha ki kis kam me isme iski jankari hui ki usme madad mangte hain ki tu hamko sidhe raste par chala
          Iska natija ye nikla ki duniyawi and dini kamon me Allah hi se madad mangni chahiye lekin us par qayem rehne ki dua khas taor se qki ye tamam nekiyon ki jadh hai
     Dusra is tarah ki isse pehle zikr tha ibadat ka our ab zikr ho raha hai dua ka jisme is taraf ishara hai ki ibadat ke bad dua mangni chahiye isi liye Namaz ke bad dua mangna sunnat hai
   Tisra is tarah ki ab tak arz tha ki Ya khuda ham teri hi ibadat karte hain our tujhse madad mangte hain ab arz kiya ja raha hai ki tu hame sidhe raste par qayem rakh yani ibadat par qayem rakh ayesa na ho ki kuch roz ibadat karke chodh de balki hamesha teri ibadat me mashgul rahe ki yahi صراط المستقیم hai
    Chotha is tarah ki ab tak ibadat ka zikr hua ab arz hai ki Aye Allah  hamko is ibadat me sidhe raste par qayem rakh yani is tariqe se ibadat kara ki teri bargah me qubul ho jis tarah Tere maqbul bandon ne ibadat ki ho ayesa na ho ki duniyawi rahat par ibadat se gafil ho jaye our agar kabhi ibadat me mushaqqat ho to iabadat se munh modh len
   Panchwa is tarah ki ibadat wagera ke bad hidayat ki dua mangna isliye hai ki bager hidayat ke ibadat maqsud tak nahi pahunchati hai badhe badhe aabid aakhir kar zandiq ban gaye ki iblis wagera pehle auwwal darje ke aabid the our bad me gumrah hue to arz ye kiya ja raha hai ki aye Khuda ham apni is ibadat par naza nahi hain tujhse hidayat our hidayat par Hamesha qayem rehne ki dua mangte hain

    Ulmaye karam farmate hain ki اھد joki ہدایت se bana hai jiske mana hai Rahbari karna ya manzil maqsud ka pata nishan dena
   Hidayat do tarah ki hoti hai ek sirf rasta dikha dena our dusra maqsud par pahuncha dena agar rasta dikha dena maqsud hota to ھدایت ke bad الی ya لام laya Jata our yahan is dono mese koi nahi jisse malum hua ki banda arz kar raha hai ki aye  Mola sirf hame sidha rasta dikha na de balki waha tak pahuncha de our us par chala bhi de qki raste me rah mar bahot hai bager teri madad ke uspar chalna  na minkin hai our نا se ye malum hua ki dua karne wala sabke liye dua kar raha hai ye nahi ke raha ki sirf mujhe hidayat de balki ham sab ko is jama se kai fayede hain ek ye ki jis tarah wo ibadat zyada qubul hoti hai jo musalmano ki jama'at ke sath ki jaye isi tarah wo dua zyada maqbul hoti hai jo sabke liye ki jaye qki agar ek ke liye bhi qubul ho gai to ummid hai ki sabke liye qubul ho jayegi isi liye dua ke shuru our aakhir me durud sharif padha jata hai qki durud Sharif ki barkat se dua bhi qubul our Rahmat'e ilahi se ummid qawi hai ki wo darmayan ki dua ko nahi chodhega balki aas pas ki durud ki barkat se ise bhi qubul farma lega

    Dusre is liye ki agar ek shakhs hidayat par aa gaya our baqi sab gumrah rahe to sab gumrahon ke bich us ek insan ki zindagi dishware ho jayegi qki agar unke mutabiq karega to gumrah ho jayega our mujhalif karega to dishmani peda hogi lehaza isi liye zaruri hai ki sabko hidayat mile taki sabki dono zindagiyan durust ho jaye

Tisra Fayeda ye ki Hadise pak me hai ki "Tum be gunah zuban se dua mango" Sahaba karam ne arz kiya Ya Rasul Allah ﷺ Begunah zuban kahan se laye Aap ﷺ ne Farmaya "Har ek dusre ke haq me dua kare ki apni zuban apne liye gunehgar hai naki ger ke liye hai"
   Isse malum hua ki dua ki maqbuliyat ka raz ye hai ki Sabke liye dua ki jaye jo chahe ki meri dua qubul apne sath sabke liye dua kare

Kafie ke liye iman hidayat hai Mumin ke liye Taqwa, Muttaqi keliye kamale Taqwa, Maqbulon ke liye Qurbe ilahi, Muqarrabin ke liye Kamale Qurb Hidayat hai lehaza agar kafir ye aayat padhe to iman ki dua hai our gunah gar padhe to Taqwa ki Muttaqi padhe qurb ki dua hai

Sufiya'e karam Farmate hain Hidayat Chand ki hai ek hidayat ilhame jo bager kisi ko bataye Khud ba khud hasil ho jayese Pacha ka Khud se dudh Chusna our ro ro kar maa ko apni Taraf mail karna khud ba khud janta hai Dusri hidayat Ehsasi joki Hawas durust hone ke bad hasil ho jaese ki bachcha hosh sambhalne ke bad achi buri chizon me farq karta hai
  Tisri Hidayat Aqli jo aql ke madad se hasil ho ye dalail se hasil hoti hai Yani insan apni Aql ki madad se Dalail Qaem kare our fir usse natije nikale
  Chothi hidayat Ilahiya joki Pegambaron ki madad se Haq Ta'aala ke khas karam se ho yani jin chizon ko ham Aql our dalail se malul nahi kar sakte uski rehbari ke liye Allah ne Ambiya علیہم السلام ko bheja fir ye do qism ki hai
  Ek Hidayate Aama our Dusri Hidayate Khassa
  Hidayate aama Shari Hidayat ki hidayat hai Jo nabi ki taraf se aam insano ko hasil hoti hai jaese Aqaide islamiya our Zahiri Aamal islamiya ki hidayaten
  Hidayate khassa wo jo Nabuwat ya nure wilayat se khas khas logon ko Hasil ho
   Khayal rahe ki hidayate ilahiyya ham logonn ke liye aakhri hidayat hai magar Huzur ﷺ keliye ye pehli hidayat hai yani Ilhamiya Khas Bande Pedaishi Aarif billah hote hain Isa علیہ السلام Peda hote hi farmaya وَاٰتَینٰهُ الحُكمَ صَبِیَّا (Surah Maryam) Our Huzur ﷺ ne peda hote hi sajda kiya Quran ki pehli aayat ke nuzul ke waqt Huzur ﷺ etkaf our zikr ilahi me mashgul the, Huzur Gose pak رضی اللہ عنہ ne Ramzan ke dinon me maa ka dudh nahi piya
 Lehaza is Aayat me aakhri qism ki hidayat Rab se mangi gai hai yani aye Parwardigar ham kohidayat Farma ho Hawas our aql wagera se hasil nahi ho sakti sirf tere karam se hasil hoti hai isi liye kaha gaya اِھدِ Tu hame hidayat de ab iska talluq guzri hui Aayat se is tarah ho gaya hi pehle kaha gaya tha نعبد our نستعین Jis me ki kam karne wala banda tha ki yani jahan tak rsai hamari Aql wagera ki hai wahan takteri madad se hamne ka kar liya lekin jo chiz hamari aql wagera se bala hai Aye Maola uski hidayat Farma de yahan Rab ko Fayel Qarar diya gaya hai ab نا se murad un hazrat ki jama'at hai jobunki yare tariqat ho goya kaha ja raha hai ki aye Allah is Jangal me hamne Qadam to rakh diya hai lekin apne tak pahunchne ka rasta yani wo rasta jiski inteha tu hai uski rahbari tu farma de

  الصِّرَاطَ المُستَقِیم me sufiya'e karam ke nazdik chand Tafsire hain ek ye ki ye wo rasta hai jo Mohabbat our Aqt dono ko jame ho jiske nam hai suluk Qki sirf aql jo Ishqe ilahi se khali ho wo bedin hai our surf ishaq jisme aql qayem na ho jazb hai  our Rab ki Mohabbat bhi kamil ho aql bhi baqi ho ye suluk hai wahi is jagah matlub hai

     Is dia se chand masle malum hote hain

1. Ye ki har insan marte waqt tak raste me hai manzil par marne ke bad pahunchega jaese musafir raste me apne mal ki nigarini karta hai ayese hi har insan apne aamal ka nigra hai

2. Allah ki sabse badhi niamat ye hai ki insan ki sidha rasta chalne ki taofiq mil jaye is liye Surah Fateha me sirf iski dua karai gai hai

3. Allah Tak bager wasila nahi pahunch sakte warna raste ki kya zarurat hoti Rab hamse Qarib hai magar ham usse dur hain is ham rah te karne ke mohtaj hain 

No comments:

Post a Comment

Aapke comments hame milenge our aapko uska replay bhi diya jaega aap apni bat likh sakte hain

THANK U 🌹

Pages