Surah fateha ki Chathi6 Aayat ki tafseer




Surah Fateha ki Chathi Aayat
       
       صِرَاطَ الَّذِینَ اَنعَمتَ عَلَیهَمۙ
Rasta unka jinpar tune ehsan kiya
 
Is aayat ka talluq pichli aayat se kai tarah hai ki
    Pehla ye ki Pichli aayat me sidhe raste ki hidayat mangi gai thi jis me bahot zaruri tha unko bayan karna Arz kiya aye Allah ham unka rasta mangte hain jin par tune ehsan farmaya jisse malum hua ki sidhe raste ki pehchan ye hai ki Usko Allah ke nek bande ikhteyar karle
  Dusra ye ki pichli aayat Rab se rasta manga our ab is raste ke Rahbar mange Qki koi Rasta Bager rahbar ke taye nahi ho sakta to goya arz kiya ja raha hai ki Parwardigar Ham wo rasta mangte hain jis par tere khas bandon ke naqshe qadam ho our unki Rahbari se ham manzile Maqsud tak pahunch jaye


Aalimana Tafseer
  Ulmaye karam Farmate hain ki raste do hain ek Rasta Makhluq se khaliq ki taraf our dusra rasta Khaliq se makhluq ki taraf

Jo Rasta Makhluq se khaliq ki taraf hai khatarnak hai usme bahot se qafile lut chuke hain ispar jagah jagah daketi hoti hai our dakuon ka sardar Iblis hai elan kar chuka hai ki
   لَاقعُدَنَّ لَهُم صِرَاطَكَ المُستَقِیم (surah araf)
  To zarurat thi ki us qafile me jaye jis qafile me mohafizin ho jiski wajah se daku ki himmat na padhe ki hamko lute our muhafizin wahi hazrat hain jinka isme zikr kiya gaya

 انعمت  jiske mana hai niamat lugwi mana narmi hota hai isliye Arab wale kapde ko aur Narm Khal ko جلد ناعم bolte Hain Istelah mein surur aur Lazzat ko niyamat Kahate Hain Neamat 3 Tarah Ki Hoti Hai Ek wo jo bila sabab Rab ki taraf se ejad Hoti Hai Jaise Jindagi aur Bachpan Ka rizq our Hidayat wagera aur dusri wah niyamat Jo Ham Ba zahir Kisi Bande ke zariye se pahunchi Jaise duniyawi Mal vagaira Teesri vah Jo Hamare Amal ki zariye Humko Mile Jaise baz Amal se rifq badh jata hai aur Jannat Vagerah teenon ki vazeh misal yah hai ki ek shakhs Imaan aur Amal Ki zariye Se Jannat Hasil Ki Jaise ke farma bardar Banda dusre Ne Bager Amal kisi ke zariye se Jannat Le Li Jaise musalmanon Ke Na Balig fot shudah baccha Tisre ne bager Sabab ke Jannat Hasil Ki Jaise hur aur Rab ki vah makhluq Jo Jannat ko pur karne ke liye paida ki Jayegi
pahle qism ki niyamat do Tarah Ki Ek Duniyawi jaise ki Hamare badan ka hissa aur Unki quwate vagaira
dusre dini jaise ki Imaan aur Hidayat wagera is Ayat me Niyamat se  yahi aakhri niyamat Murad Hai yani Dini niyamat to aayat ka maqsad yah hua Aye Allah Hum Ko un Logon ke Raste per Chala jinko Tune Dini niyamat Se Nawaza Hai vah Kaun Hazrat Hain unko kudu Quran Ne dusri Jagah farmaya

فَاُولٰٸِكَ مَعَ الَّذِینَ اَنعَمَ اللّٰهُ عَلَیهِم مِّنَ النَّبِیّنَ وَ الصِّدِّقِینَ و الشُهَدَآءِ وَالصّٰلِحِینَ

Fayeda

Sufiya'e Karam ki tafseer
  Sufiya'e karam Farmate hai انعمت علیہم se wo Hazraat Murad ho sakte hain Jin par Rab ki batini niyamat nazil Hui aur Jin per noor ka Cheeta Pada Kyunki mishkat Shareef main hai ki Allah Ta-aala ne saiyyeduna Aadam علیہ السلام  ki pusht se Tamam roohon ko nikala un par noor ka Chinta Diya baz per vah Nur Pada aur baz usse mahroom Rahe Jin nur pahuncha vah hidhayat per a Jaenge aur jo mehrum rahe vah Gumrah Hi Rahenge kamilin Haq Baat Ko Usi Noor se Maloom kar lete hain aur aam Musalman inki perwi Karke Hidayat Pa Jaate hain lekin jo Unse alag Raha vah tarikh Ki Main Raha lehaza انعمت se Murad Auliya ki rah hai
 Sufiya'e karam ke Nazdik kuffar انعمت علیہم Main dakhil hi Nahin Hai Kyunki unhen Kisi qism ki niyamat Di hi nahi Gai yah Duniyawi niyamat Maal aolad wagera musalmanon ke liye niyamat hai aur kuffar Ke Vaste zehmat Kyunki usse musalmano ke nek aamal me taraqqi hoti hai our kuffar ki sarkashi badhti hai


Dekho you Samjho ki ek shaks ne apne dost ko khas halwa Khilya Aur Dushman ko zahar wala Khila Diya donon ko halva hi diya hai dost Ke Vaste ho rahmat aur Dushman ke waste zahmat hai u Sanje ki ek hi Halwai se tandurust aur bimar Ne khaya lekin usse bimar Ki Bimari badh Gai tandrust Ko taqat pahunchi Isi Tarah ek hi niyamat Musalman aur Kafir Ko milati Hai Lekin Kafir ko Kufr Ki Bimari Hai Jiski wajah se uske liye yah Jahar hai

No comments:

Post a Comment

Aapke comments hame milenge our aapko uska replay bhi diya jaega aap apni bat likh sakte hain

THANK U 🌹

Pages