Tabdili use kehte hain ki koi chizi kisike likhi ya banai our usme kisi dusre shakhs ne apni taraf se usme kuch kami beshi ki ho
Our Quran ki kuch aayaton ka mansukh hone ka hargiz ye matlab nahi hai ki isme bhi pichli kitabon ki tarah Raddo badal kar di gai hai Qki Nazikh our Mansukh Rab ki janib se hai Rab hi Quran Pak nazil farmane wala hai lehaza agar rab hi isme kuch aayate badhata ya kam karta hai to ye uski hikmat hai ise Raddo badal nahi keh sakte
Ise aap u samjhe ki agar koi Doctor apne kisi Mariz ho koi dawa de our fir kuch roz bad Dr Mariz ki halat dekh kar koi dawa badha ya ghata de to ye dawa me Raddo badal karna nahi hua nahi ye galati h lekin agar Mariz khud koi dawa kam ya badha de to ye Raddo badal karna hua our ye galati hai
No comments:
Post a Comment
Aapke comments hame milenge our aapko uska replay bhi diya jaega aap apni bat likh sakte hain
THANK U 🌹