Kya etkaf ke liye Roza shart hai ?

 



Etkaf Sunnat : yani Ramzan ke aakhir 10 dinon me jo etkaf kiya jata hai usme roza shart hai lehaza agar koi mariz ya musafir bager roza rakhe etkaf kiya to sunnat adaa na hui balki nafil hua 


Etkaf Wajib : yani mannat ke etkaf me bhi roza shart hai agar bager roza ke etkaf karne ki mannat mani fir bhi roza rakhna wajib hai isi tarah agar raat me etkaf ki mannat mani to ye mannat sahi nahi hai kyunki raat me roza nahi ho sakta hai our isi traha zahwe kubra ke baad mannat mani jab bhi mannat pura nahi hoga kyunki Zahwe kubra ke baad roze ki niyat nahi karsakta bake zahwe kubra se pehle bhi mannat mani jab bhi durst nahi hoga kyunki Mannat ke etkaf ke liye Roza wajib shart hai our zahwe kubra ke baad wajib roze ki niyat nahi kar sakte hain 


Etkaf Mustahab : Yani masjid me etkaf ki niyat se dakhil hona ki iske liye roza shart nahi hai 

No comments:

Post a Comment

Aapke comments hame milenge our aapko uska replay bhi diya jaega aap apni bat likh sakte hain

THANK U 🌹

Pages