Kya Orat masjid me etkaf kar sakti hai ?

 


Orat ko masjid me etkaf karna makruh hai Orat ghar me hi etkaf kare lekin ghar me us jagah kare jo usne namaz padhne ke liye muqarrar kar rakhi hai jise masjid'e baet  kehte hain our orat ke liye ye mustahab bhi hai ki ghar me namaz padhne ke liye koi jagah muqarrar kar le 


Agar orat ghar me namaz ke liye koi jagah muqarrar na ki ho to ghar me etkaf nahi kar sakti lekin jabki etkaf ka irada kiya kisi jagah ko namaz ke liye khas kar liye to us jagah etkaf kar sakti hai

No comments:

Post a Comment

Aapke comments hame milenge our aapko uska replay bhi diya jaega aap apni bat likh sakte hain

THANK U 🌹

Pages