Moatakif agar sawab ki niyat se khamosh rahe to ye makruhe tahrimi hai han agar buri baat zuban se na nikal jaye is liye khamosh rehta hai to makruh nahi hai balke ye aala darje ki chiz hai kyuki buri baat zuban se na nikalna wajib hai
NOTE = Jis bat me na gunh hai na sawab wo kam bhi etkaf ki halat me karna makruh hai magar zarurat ke waqt yad rahe masjid me mubah kalm nekiyon ko aese khata hai jaese aag lakdhi ko
Moatakif na chup rahe na kalam kare balki wo Quran majid ki tilawat kare, Hadis sharif Ki Qerat kare, our Durud sharif ki kasrat kar, ilm'e deen ka dars de ya ilm'e deen ka dars hasil kare, Nabi ﷺ ke sirat wa azkar our auliya karam wa salehin ki hikayat ya umure deen ki kitab padhe
No comments:
Post a Comment
Aapke comments hame milenge our aapko uska replay bhi diya jaega aap apni bat likh sakte hain
THANK U 🌹