🌺(9)➡Hamari ibadat ka fayeda kise hota hai❓



🌸JAWABKhuda'e tala ke har kam me hikmat hai chahe wo hamko malum ho ya na ho hame khuda ne aankh diya ki ham aankh se dekhen ab agar wo chahe to ham aankh se sune our kan se dekhen lekin usne jesa bhi ata farmaya hai usme bahot hikmaten hain joki ham nahi samajh sakten our hame ibadat ka hukm diya isme bhi uski hikmat hai Jo ki ham nahi samajh sakten uska faeda ham bando ko hi hai na ki khuda ko qki hame peda karne wala khuda hai to wo behtar janta hai ki hamare liye kya behtar hai our kya nahi ibadat se duniya me 2 tarah ke fayede hain

(1). hamari ibadat se hame jismani fayeda hota hai jesa ki aaj kal ke saindanon ne kaha hai our bhi bahot se fayeden hai jeske bare me abhi sainsdanon ko bhi nahi malum khuda behtar janta hai qki hame peda karne wala khuda hai 

(2). ibadat ka ruhani fayeda bhi hai jesa ki khudae ta aala Qur'an'e pak me farmata hai*
      ‍‌
*یایّھا النّاس اعبدوا ربّکم الّذی خلقکم و الّذین من قبلکم لعلّکم تتّقون*

TARJAMA > Ae logon apne rab ki ibadat karo jisne tumko our tumse aglon ko peda kiya ye ummid karte hue ki tumhe parhezgari mile*

   📌 Isse malum hua ki ibadat ka fayeda our badla ibadat karne wale ko hi milta hai Allah isse pak hai🌸*

            *📚HAWALA📚*
   *📖Bahare shariyat Hissa>1*

*📝NOTE=>Allah ke har kam me koi na koi hikmat hai wo koi kam apne fayede ke liye nahi karta wo is bat se pak hai usme bandon ka hi fayeda hota hai lekin bande nahi samajh sakte hain*

*واللہ اعلم بالصواب*

*✍Binte Mohammad Noor Alam (Assam)*

No comments:

Post a Comment

Aapke comments hame milenge our aapko uska replay bhi diya jaega aap apni bat likh sakte hain

THANK U 🌹

Pages