🌸JAWAB➡Tamam Farishten Khuda ke masum bande hain wo har gunah se pak hain unse kabhi koi galati nahi ho sakti Khuda ne Jo hukm farmaya wo khuda ke hukm ke mutabiq sare kam anjam dete hain uske khilaf kuch nahi karten
Allah ta aala ne bahot se kam Farishton ke Supurd kiya hai jese👇
➡ Kuch farishton ke zimme Ambiya علیہ السلام ki khidmat me wahi (Khuda ka pegam) pahunchana 👇
Jesa ki Hazrate Jibrail علیہ السلام ka Ambiya علیہم السلام ki khidmat me hazir hona,
tafseer ibne kasir me likha gaya hai ki Hazrate Dahiya Qalbi رضی اللہ عنہ Jo ki madine ke khubsurat logon me se ek the unki shakl me bhi Hazrate Jibrail علیہ السلام Huzur ﷺ ki khidmat me hazir hote the.
➡ Kisi ke zimme rozi pahunchana👇
Hadise pak me hai ki Beshak Allah ta aala apne farishte ko muqarrar farmaya h olade aadam ko rozi pahunchane par
📚 Kanzul ummal
➡ kisi ke zimme maa ke pet me bacha ki Surat banana👇
Hadise pak me hai ki Jab nutfa 42 roz guzar chuka hota hai to Allah ta aala ek farishta bhejta hai to uski Surat banata hai our uske kan ko banata hai our uski aankhon ko our uske jild (chamdi) ko our uski hadhi ko banata hai
📚Hawala Sahi muslim
➡ Kisi ke zimme insan ki dushman se hifazat karna
➡ Kisi ke zimme zikr karne walon ko talash karke usme hazir hona👇
Hadise pak me hai ki Beshak Allah ta aala ke Farishte Allah ke fazl se talash karte hain zikr ke majalis ko jab wo pate hain esi majlison ko to wo unke sath us mehfil me beth jate hain
📚Hawala sahi Muslim
➡ Kisi ke zimme insan ke nama'e aamal likhna👇
QUR'AN'E PAK ME HAI KI👇
اذ یتلقی المتلقین عن الیمین و عن الشمال قعید
Para 26 Surah ق
➡TARJAMA=> Jab usse lete hain do lene wale ek dahine betha our ek baye
Farishte insan ke har amal likhne par mamur hain dai taraf wala nekiyan likhta hai our bai taraf wala badiyan
Insan kuch bhi bole uski har bat likhi jati hai chahe wo kahi ho siwae qazae hajat (Istinja,Gusl wagera ke waqt) our biwi se sohbat ke waqt ki us waqt ye Farishte aadmi ke pas se hat jate hain
📌MASLA=> un donon halton (Istinja,Gusl our biwi se sohbat ke waqt) me aadmi ko bat karna jaiz nahi taki uske likhne ke liye farishton ko us halat me isse qurbat (qarib)hone ki taklif na ho
📌HADIS=>imam bagwi ne hadis riwayat ki hai jab aadmi ek neki karta hai to dae taraf wala farishta 10 likhta hai our jab badi (gunah) karta hai to dae taraf wala farishta bae janib wale Farishte se kahta hai ki abhi thoda thahar ja shayad ye istegfar kar le سبحان الله
➡ Kisi ke zimme Huzur ﷺ ki khidmat me hazir hona
HADISE PAK=>Rasul ﷺ ka tazkira karne ke liye Koi esi fajr nahi jisme 70000 farishte nazil na ho yahan tak ki roza'e anwar ko gher lete hain our apne paron se chalte hain our nabi pak ﷺ par durud bhejte hai 70000 rat me our 70000 hazar din me yahan tak ki zamin fat jati hai fir usme se 70000 farishte nikalte hain سبحان الله
➡ Kuch Farishte makhluq ka Salat-o-salam, durud Sharif Huzur ﷺ ki bargah me pahunchate hain👇
Hadise pak me hai
Farmaya rasule pak ﷺ ne ki
Beshak ek farishta muqarrar hai ki nabi ﷺ ke pas darud'e pak pahunchae ki beshak fala aapki ummat me se aap par durud bhejta hai سبحان الله
➡ Kisi ke zimme murdon se sawal karna hai
HADISE PAK ME HAI KI
Murde ke pas do farishte aa kar use buthate hain fir usse kehte hain
Tera rab kon hai ?
Tera din kya hai?
Ye kon Sahab hain Jo tum me bheje gae?
➡ Kisike zimme Ruh Qabz karna👇
Qur'an Pak me hai ki
قل یتوفکم ملک الموت الذی و کل بکم ثم الی ربکم ترجعون(پارہ ٢١)
TARJAMA=> Farmado ki tumhe wafat deta hai moot ka farishta fir apne rab ki taraf wapas Jana hai
Ruh Qabz karne wale farishte ka nam Hazrate Izrail علیہ السلام un ke liye duniya ek hatheli ki tarah kar di gai hai jiske zariye wo aasani se ruh qabz kar late hain
📚Kanzul iman
➡ Kisi ke zimme azab dena👇
HADISE PAK ME HAI KI
Hazrate Jibrail علیہ السلام rasulon ki taraf wahi lane par muqarrar hain our Azab dene par bhi muqarrar hain jab ki Allah ta aala kisi Qom ko halak karne ka irada farmata hai
➡ Kisi ke zimme sur funkna👇
HADISE PAK ME HAI KI
Huzur ﷺ ne farmaya Hazrate israfil علیہ السلام sur wale Farishta hain
_OUR BAHOT SE KAM HAIN JO FARISHTE ANJAM DETE HAIN_
📚HAWALA📚
📖Aam kutub fiqah
📝NOTE=Khuda farishton ka mohtaj nahi balki farishton ki azmat logon me zahir karne ke liye unko zariya banata hai our Allah ye dikha raha h ki Allah ke kuch wo masum bande hain jo farmabardari karte hain na farmani ka kui shubah bhi nahi h yani kabhi koi galati nahi karte hain
واللہ اعلم بالصواب
_Dua ki talabgar_
✍Binte Mohammad Noor Alam (Assam)

No comments:
Post a Comment
Aapke comments hame milenge our aapko uska replay bhi diya jaega aap apni bat likh sakte hain
THANK U 🌹