Surah Fateha kahan nazil hui❓




Surah Fateha ke Nuzul ke bare me 3 qol hain

1 surah Fateha Makka me nazil hui baz Ulmaye karam Farmate hain ki sabse pahle Surah fateha nazil Hui iska waqeya yah Byan Kiya jata hai ki ek Roz Huzur ﷺ Hazrate Khadija رضی اللہ عنہا  ke pas tashrif laye aur farmaye ki Jab Mein Tanhai Mein Baithata Hun To Gaebi Awaaz Sunta Hun Ki Koi Kahta Hai padho, iski Khabar Warqa ko di Gai joki Hazrat Khadija رضی اللہ عنہا Ke Rishte Mein Bhai the

    Warqa Ne arz kiya ki Jab Kabhi yah Awaz Aaye To aap itminaan se sunte Rahe Fir ye hua ki Hazrate  Jibrail علیہ السلام Hazir Khudmat Hue aur Arz Kiya ki padhiye
بسم اللہ الرحمن الرحیم
الحمد للہ رب العالمین
 Is Riwayat se Maloom Hua ki sabse pahle Surah fateha nazil Hui Magar dusri Riwayat se Maloom hota hai ki sabse pahle Surah Iqra nazil Hui

2 Qol ye hai ki ye Surat Hijrat ke bad Madina Munawara me utri Lekin kis par Aitraaz yah hai ki Namaz Makka mukarrama Mein shabe Meraj mein ho chuki thi aur namaz Me iska padhna jaruri hai ya Surat Madani hai to musalmanon Ne itne Roz Tak kya padha.

3 Qol yah hai ki yah Surat hijrat se pahle Makka mukarrama mein aur hijrat ke bad Madina Taiyyeba Mein Dobara nazil Hui isliye isko "Sab'e Masani" Kahte Hain Kyunki yah 7 Aayaten hain Aur Do dafa Utri hai aur dobara utarne Mein Himmat yah hai ki musalmanon ko iski Shan Ka Pata Lag Jaaye aur Huzur ﷺ Ke Liye Rab ki taraf se Tohfa Hai ise Maloom Hua ki Quran'e Pak ka utarna Sirf Huzur ﷺ ke ilm ke liye nahi tha balki ismein Aur Bhi Hikmaten Hain

No comments:

Post a Comment

Aapke comments hame milenge our aapko uska replay bhi diya jaega aap apni bat likh sakte hain

THANK U 🌹

Pages