Surah Fateha me kya bayan kiya gaya hai❓




Surah Fateha me 1 Ruku our 7 Aayaten hain

    Suraton ke name jo rakhe gaye hain wo is etbar se ki jis Surah me jis chiz ka zikr ho usi etbar se uska name rakha gaya hai our kisi surah me kai chizon ke bare me bataya gaya hai to unme jin baton ka zikr sabse zyada kiya gaya hai ya jo zyada mshhur wa maruf hain usi etbar se suraton ke name rakha gaye hain

Ab surah Fateha me kai baton ka zikr milta hai is etbar se surah Fateha ke kai name hain our Name ki itni zyadati is bat ko Zahir karta hai ki surah Fateha kitna martaba rakhta hai

Sabse pehle to surah Fateha ka name Fateha Q rakha gaya isko samaje is liye ki ye surah Quran muqaddas me sabse pehle likhi gai hai is liye is Surah ko surah Fateha kehte hain yani kitab ki ibteda karne wali

Is surah me sabse pehle Allah Rabbul izzat ki Hamd wa Sana bayan ki gai hai isse Bandon ko Rab Ta-aala ki Hamd baja lane ka Tariqa bhi malum hota hai is liye is surah ko Suratul Hamd bhi kehte hain

Ye surah Quran muqaddas ki asl hai is etbar se ki isme Allah Rabbul izzat ki hamd-o-sana ki gai hai Our Allah Rabbul  izzat hi Tamam tarif ke layaq hai iski dalilen bhi milti hain Bandon ka Iman lane ke etbar se kuch darjat ka bhi zikr kiya gaya hai bandon ko Ibadat karne our unse bachne ki jin par khuda ne Gazab farmaya unse bachne ki targib di gai Garz ki Jinta bhi gor kiya jaye is surah me utni wazahat milti hai is etbar se is surah ko Ummul Kitab our Ummul Quran bhi kehte hain

Din ki Tamam bunyadi umur ka zikr is surah me milta hai is liye is surah ko Surahtul kanz bhi kehte hain

Bandon ko dua karne ka mukammal tariqa bataya gaya hai is etbar se is surah ko surahtul dua bhi kehte hain




No comments:

Post a Comment

Aapke comments hame milenge our aapko uska replay bhi diya jaega aap apni bat likh sakte hain

THANK U 🌹

Pages