Surah Fateha ki pehli Aayat
الحمد للہ رب العلمین me Deobandiyon ka etraz our jawab
ETRAZ :-
Deobandi kehte hain ki is aayat se malum hua ki har hal me banda Allah hi ki Hamd our usi ka zikr kare uthte bethte ya Rasul Allah ya Gaos khna shirk hai
JAWAB:-
Allah walon ki Tarif our unka zikr Haqiqat me khuda hi ki tarif hai our usi ka zikr hai balki Kamil Hamd Allah ki wahi hai jo uske khas bandon ke zikr ke sath ho aap Agar Rab ke kalam me Gor karen to pehli Aayat Sirf الحمد للہ nahi hai balki iske sath رب العلمین ka bhi zikr hai yani Rab ki tarif ke sath Rab ke makhluq ka zikr hai our chuke Qurane Pak Bandon ki hidayat ke liye hai Our isme hame Allah Rabbul izzat ki Hamd ka tariqa bhi sikhaya ja raha hai ki Rab ki Tarif Rab ki Makhluq ke sath karen our Makhluq ki Tarif Haqiqat me Rab hi ki Tarif hai ki unka Peda karne wala Rab hai isi liye kaha jata hai ki kisi Makhluq ke Andar uski banawat me koi aeb na talash karen Rab Ki Hikmat Insan nahi samajh sakta hai
ETRAZ:-
Agar Rab waqai palne wala hai to Musalmanon ke hath Qatl Q karata hai Rab ka kam hai palna na ki Marna
JAWAB:-
Agar koi Naqis(Gunahgar) Makhluq dusre Aala Makhluq ki parwarish me Rukawat peda kare usko alag kar dena hi parwarish hai jaese kisan ke khet me fasal ke sath kuch Khubsurat ghas bhi ug aate hain dekhne me bhali malum hoti hai lekin kisan janta hai ki usse khet barbad ho jayega use jadh se ukhadh kar bahar fenk deta hai qki isi me khet ki bhalai hai isi tarah kuffar Rab ki zamin par khubsurat ghas ki tarah hain Agar zor pakadh liye khuda ke bandon par duniya tang ho jayegi isi liye unka nikal dena hi zaruri hai
ETRAZ:-
Rab ka kam Parwarish karna our taklifon se bachana hai fir apne khas bandon par taklif q utarta hai jaese Bimari Wagera
JAWAB:-
Rab apne mukhlis bandon par jo koi taklif bhejta hai usme hazarha hikmaten hoti hain kabhi ye taklif uske gunahon ka kaffara ban jati hai kabhi sabr ki wajah se unke darje baland karti hai kabhi ye bahot badhi rahat ka saman ban jati hai jaese mal ki zakat zahir me to malum hota hai ki ye mal bila wajah kharch karna hai lekin uski wajah se garib pal jate hain dene wale ke mal me barkat hoti hai jaese fldar darakht ki shakh kat dene se aainda us se zyada fal peda hote hain isi tarah nek bando ko taklif milne par unki neki our badhti hai
واللہ اعلم بالصواب
No comments:
Post a Comment
Aapke comments hame milenge our aapko uska replay bhi diya jaega aap apni bat likh sakte hain
THANK U 🌹