Surah Fateha ki pehli aayat
اَلحَمدُ لِله
Sab khubiyan Allah ko
Is aayat me 4 Baten Gaor karne ke qabil hain
1. Quran'e Pak me sabse pehle ye aayat Q aai hai
2. Ulmaye karam Our Sufiya'e Karam ne iski kya tafsir ki hai
3. Isse Musalmanon ko kya sabaq lena chahiye
4. Is Aayat par kya sawalat hain our iske jawabat
(1) Is Aayat Ko sabse pehle Rakhne ki kai wajah hain yahan aapke samne kuch wajah pesh ki ja rahi hai
Ek to ye ki Hazrte Aadam علیہ السلام Ke zuban se pehla Lafz jo nikla wo الحمد للہ hai is etbar se is aayat ko sabse pehle rakha gaya hai taki koi bhi insan Quran'e pak padhe to uske zuban se pehla lafz wahi nikle jo Aadam علیہ السلام ke zuban se Nikla
Dusri wajah ye hai ki Pehli aayat me 8 huruf hain our jannat ke 8 darwaze hain lehaza agar koi insan safai qalb se Quran pak ki pehli aayat ko padhta hai to wo jannat ke 8 darwaze ka mustahiq ho jayega isme is taraf ishara hai ki Quran pak shuru karte hi padhne wala jannat ka mustahiq ho gaya ab jis qadar padhta jayega Allah Rabbul Izzat ke Falz o karam me our zayadati hogi
Tisri wajah ye hai ki Ibadat ki jan Allah ki Tarif hai isi liye Allah Rabbul Izzat ne ise pehle Bayan Farmaya hai
(2) Ulmaye Karam ki tafsir
Surah Fateha ki pehli Aaayat me Rab Farmata hai ki Tamam Tarif Allah ke liye
Is kalam ka Maqsad ye hai ki koi bhi tarif kare kisi hal me kare sab tarif Allah hi ki hui is tarah ki Agar Rab ki Tarif kare to Zahir hai ki ye bila wasta (Bager kisi wasta ke) Rab ki Tarif hai our agar uski kisi makhluq ki tarif karen kisi wali, chand, suraj wagera ki jiski bhi tarif ki jaye ba wasta(Wasta ke sath) rab hi ki tarif hui Qki chiz ki tarif Haqiqat me banane wale ki tarif hui is liye Hzur ﷺ ki tarif Haqiqat me Rab ki tarif hai our isi tarah Neamat milne par shukr baja lana our taklif aane par sabr karna ye bhi Rab ki tarif hai Bande ko chahiye ki har hal me khuda ki hamd(Tarif) bayan kare,
Neamat milne par is liye hamd kare ke fazl ka shukriya ho our Taklif me is liye hamd(Tariff) kare ki jo taklif ham par aai hai wo kisi gunah ki wajah se aai hai khuda ki hamd is guan ka kaffara ban jayega our jab gunha mit jayega to taklif apne aap jati rahegi
(2) Sufiyae Karam ki tafseer
Sufiya'e Karam Farmate hain ki Hamd yani Tarif ke mana hai Ki Jiski Tarif karni ho uske kamal(Khubi) ko zahir karna our jo shakhs ya jo chiz apne me jo kamal rakhti hai haqiqat me Rab hi ka kamal hai is etbar se duniya ki chizon ke kamal ka zahir hona hi khuda ki tarif hai ek But(Murti) ko pujne wala apnki bewaqufi se buton ko pujta hai apne ikhteyar se khuda ki taraf se jo use neamat mili hai use galat jagah sarf karta hai lekin uske jism ki banawat uske hath pao ki taqat uske bolne ki taaqat garz ki uske jism ka har hissa pukar kar keh rahi hai ki mera khaliq be nyaaz hai our apni zubane hal se us par lanat karti hai ki andhe tu kya kar raha hai goya ki but parasti ki halat me bhi uske ger ikhteyar me Allah hi ki tarif ho rahi hai qki use bhi Rab ne peda farmaya hai
(3) Masla => Juma ke khutbe me hamd padhna wajib our Nikah ke khutbe, Har Dua our Har Jaiz kam ke Shuru our bad me our har khane pine ke bad hamd karna mustahab hai Chink Aane ke bad hamd karna Sunnate Moakkeda hai
رَبِّ العٰلمِینَ
Jo tamam jahanon ka palne wala hai
Is aayat ka talluq Hamd se kai tarah se hai
Ek ye ki us Aayat me Bandon ko Rab ki Hamd Karne ka hukm diya gaya tha our isme uski wajah batai gai hai ya ye ki usme dawa tha ki tamam tarif Allah hi ke liye hai to is aayat me dalil batai ja rahi hai ki sari tarif Allah ke liye hai qki wo tamam jahanon ka palne wala hai our jo jahanon ka palne wala hai wahi tarif ke layaq bhi hai
Dusre is tarah ki Rab ki hamd karne wale 4 tarah ke loog hain
1. Jo sirf Rab ko razi karne ke liye Rab ki Hamd karte hain koi nafa ki khahish nahi hoti hai jaese ki Ambiye Karam علیہم السلام
2. Jo Apne upar Rab ki Beshumar Neamat dekh kar Rab ki Hamd kare Jaese Shukr guzar bande
3. Jo Aainda Rahmat ki ummid par Rab ki Hamd karen jaese aam Gunehgar Ummidwar bande
4. Jo Rab ki haebat wa jalalat ki khaof se Rab ki Hamd kare

No comments:
Post a Comment
Aapke comments hame milenge our aapko uska replay bhi diya jaega aap apni bat likh sakte hain
THANK U 🌹