Surah Fateha ki chothi aayat ki Tafseer

  


          اِیَّاكَ نَستَعِینُ۝
       our tujhi se madad chahen

Is aayat ka talluq guzri hui aayat se kai tarah se hai
  Surah Fateha me chand mazmun hain pehla Khuda ki Hamd dusra Apni bandagi ka izhar tisre usse dua mangna
   Pichle aayat me do mazmun bayan ho chuke hain Ab tisra shuru hota hai lekin dua ke liye zaruri hai ki kisi wasile se ki jaye is liye isse pehle ibadat ka zikr hua our bad me dua ka yani aye Allah ham teri ibadat karte hain our ibadat ke wasile se tujhse dua magnte hain is liye musibat ke waqt namazen padh kar sadqa wagera karke nek aamal karke dua ki jati hai taki wo ibadat qubuliyat dua ka wasila banen isse ye malum hua ki har dua me  Huzur ﷺ ka wasila pakadhna zaruri hai Qki Huzurﷺ ki bargah me hazir hona bhi rab ki ibadat hai
   Dusta is tarah ki isse pahle Farmaya gaya tha ki aye Allah ham teri ibadat karte hain ab Arz kiya ja raha hai khudaye pak is ibadat ko mukammal karne me tujhse madad mangte hain
  Tisra is tarah ki ibadat ki kuch zahiri sharten hain jinke bager ibadt adaa nahi ho jaese Namaz ke liye wazu  kuch batini sharten hain ki jinke bager namaz Allah Rabbul izzat ki bargah me qubul nahi hoti hai jaese dil me khushu khuzu ka hona Raya our fakhr se pak hona
Ab pehli qism ki shart namaz ke liye wazu wagera karna bande ke bas me hai lekin dusri qism ki shart yani dil ke halat bande kee ke bas me nahi hai is liye pehel kaha gaya ایاک نعبد yani ham teri ibadat karte hain Zahiri shart Wazu wagera karke our dusri qism ki shart ke lehaz se kaha gaya ایاک نستعین yani dusri qism ki sharat me tujhse madad mangte hain

  Ulmaye karam farmate hain ki yahan madad se murad ya to sirf ibadat me madad mangana hai ya sare duniyawi dini kamon me Dusre mana zyada munasib hain to goya ye kaha ja raha hai ki aye Allah jis tarah Teri iabadat karte hain isi tarah Sirf tujhse hi har kam me madad mangte hain ham mushrik nahi hain ki baz kamon me tujhse madad len our baz me tere siwa kisi our se madad mange Balki har kam me tujh hi se madad mangte hai our teri madad hi sachchi madad hai yahan bandon ko aaalim di gai hai ki wo Haq ta-aala ko hi apna haqiqi madadgar mane agar makhluq ki taraf se koi mamad kar bhi de to ye bhi haq ta-aala hi ki madad hai

Sufiya'e karam farmate hain ki
     Ek darja hamare yahan wo bhi hai ki wahan pahunch kar insan zahiri asbab par bhi nazar nahi rakhta balki baz moqon par Haq ta-aala se bhi apni zuban se arz nahi karta taki ye duaiyya alfaz bhi aadh na ho jaye Hazrate Ibrahim علیہ السلام jab namrudi Aag ki taraf chale to Hazrate jibrail علیہ السلام ne arz kiya ki kuch kuch aapko hajat hai farmaya tumse kuch nahi Hazrate Jibrail علیہ السلام ne arz kiya Rab hi se arz kijiye Farmaya "Wo khud janta hai uska janna kafi hai fir mere arz ki kya zarurat" 
 سبحان الله
ye wo halat hai ki jisme dua manggne se bhi gurez hai

  واللہ اعلم بالصواب
 
     

No comments:

Post a Comment

Aapke comments hame milenge our aapko uska replay bhi diya jaega aap apni bat likh sakte hain

THANK U 🌹

Pages