Surah Fateha ki chothi aayat me kis etraz ka jawab hai




Surah Fateha ki chothi aayat

  اِیَّاك نَعبُدُ و اِیَّاكَ نَستَعِینُ
  Ham tujhhi ko puje our tujhdse madad chahe

Aaryon ka etraz
     Aaryon ka kehna hai ki Musalman kehte hain ki ham Rab ki ibadat karte hain our mojud hain halanki wo Kaba ki taraf sar jahukate hain ye to hinduon se badh kar mushrik hue

 JAWAB.  Iska jawab namaz ki niyat me hi hai qki namaz ki niyat me kaha jata hai ki Namaz waste Allah Ta-aala ke Rukh mere kaba Sharif ki taraf lehaza namaz insan Allah ke liye hi padhta hai yani Sar Allah ke liye hi chukata hai ma ki kaba ke liye balki kaba ki taraf jhukata hai our agar namaz kaba ke liye hoti to Kaba ka pathar jis taraf hota musalman wahi jhuk jayte lekin aesa nahi hai balki kaba ka pathar kahi bhi ho Musalman usi simt jhukenge

Deobandiyon ka etraz
   Jab tumne Tilawate Qhran me Rab se WADA kar liya hai ki ham tujhse hi madad mangte hain to Nabiyon our Waliyon se Q madad mangte ho ye shirk hai

JAWAB  Ambiya علیہم السلام ya Ouliyae karam se madad lena haqiqat me Rab hi se madad lena hai Qki uski imdad do tarah ki hai
Ek bila wasta jo ki Rab se bande madad talab karte hain bila wasta our ek Wasta ke sath
  Bandon ki madad Rab ke fezan ka wasta hai Rabbe karim ne gaere khuda se madad lene ke liye khud Quran me hukm farmaya hai Irshad Farmaya
استعِنُوا بالصَّبرِ وَالصَّلوٰةِ  سورۃ البقرہ
Sabr our namaz se madad lo
  Sabr our namaz to khuda nahi hai
Isi tarah سورۃ مائدہ me Rab Farmata hai
وَتَعَاوَنُوا عَلی البِرِّوَ التَّقویٰ
Ek dusre ki madad karo Bhalai our Parhezgari me
 
Lehaza Quran Pak ne jagah jagah Gere khuda se madad lene ka hukm farmaya hai Sahaba Karam ko ek jama'at ka nam Ansar hai jiske mana hai madadgar Agar Gaere khuda se madad lena shirk ho to ye nam hi mushrikana hua Halaki Unhe ye Laqab Huzur ﷺ ne Ataa farmaya 

No comments:

Post a Comment

Aapke comments hame milenge our aapko uska replay bhi diya jaega aap apni bat likh sakte hain

THANK U 🌹

Pages