Surat Fateha ki Chothi 4 Aayat ki Tafseer




Surah Fateha ki Chothi Aayat

                     اِیَّاكَ نِعبُدُ
         Ham tujhi ko pujen

Is aayat ka talluq guzri hui aayat se kai tarah se hai
  Ek ye ki Shuru se ab tak Allah Ta-aala ne apne inaamat our jabbari our milkiyat ka zikr farmaya usse maqsad ye tha ki Allah ki makhluq uski eta'aa ki taraf ragbat kare qki ehsan ki wajah se insan eta'aa karta hai our khof ki wajah se sar sajde me rakhta hai lehaza hukm hua ki tum kaho ایاک نعبد to esa ho gaya ki ab tak ibadat ki taraf tawajjah dilaya ja raha tha our ab ibadat ka hukm diya ja raha hai
   Dusra is tarah ki insan ki 3 halat hain guzre hue, mojuda our aane wala Tino halaton me insan Rab ka mohtaj hai qki jab mojud na tha usne mojud kiya Jab kamane ke qabil na tha usne rizq diya usko guzri hui aayat me Lafz اللہ our رب ne bayan kiya fir mojuda halat har tarah Rab ke mohtaj hain iska zikr Lafz  رحمن our رحیم me farmaya hai our fir aainda qabr our Hashr me Rab ka hi mohtaj hai iska zikr lafz مالک یوم الدین me farmaya to guzri hui tinon aayat ne bata diya ki aaye insan tu har halat me Rab ka mohtaj hai ab farmaya gaya ki jiske karam ki tumko har waqt zarurat thi our rahegi tu usi ki ibadat kar

Ulmaye karam farmate hai ki is aayat me kalam chand tarah se badal gai
    1 ye ki ab tak khuda ka zikr uske namon se tha ab usko khetab kiya gaya
  2 ab tak Khuda hi ka zikr tha is aayat me bande ka bhi zikr kiya gaya
  3 ab tak Rab ta-aala ki hi sifate ka zikr tha ab bande ki sifat ka zikr farmaya

  Is aayat me ایاک pahle hai نعبد bad me hai isme is bat ki talim di gai hai ki Allah Ta-aala Qadim (Hamesha se) hai ham Bad me peda hone wale hain jo pahle se hai uska zikr pehle hai jo bad me hua uska zikr bad me hai our isme is bat ki talim di ja rahi hai ki jab banda Apna bhi our Rab ka bhi zikr kare to pehle Rab ka zikr kare for bad me apna kare our isme ye bhi malum hua ki banda ibadat sirf Rab ko Razi karne ke liye kare na ki Logon ko dikhane ke liye Qki jo logon ko dikhane ke liye ibadat karta hai wo Rab ki ibadat nahi karta hai wo uski ibadat karta hai jise dikha raha hai
   ایاک نعبد me Khitab ka Sega yani ayese alfaz ka istemal kiya gaya hai jisse samne kisise koi bat kar raha ho lehaza aesa lafz istemal kiya gaya taki Banda us waqt apne Rab ko hazir-o-nazir jane ki goya me usko dekh raha hun ya wo mujhe dekh raha hai
    ایاک نعبد jab namazi namaz me padhta hai to goya ki namaz shuru karne se pahle Rab se gaeb tha our ab Khuda ki sifaten bayan karne ki barkat se Rab ki bargah me is tarah hazir ho gaya ki use dekh raha hai our usse kalam kar raha hai


Sufiya'e karam farmate hai ki Wahi ibadat kamil hai ki jisme sirf Rab ko razi karna Maqsad ho Agar Jannat lene ke liye ya Dozakh se Bachne ke liye ibadat ki to wah ibadat kya hui ek Qism ka karobar his is liye Farnaya ایاک aye Allah teri hi ibadat Karte hain Yani hamari ibadat se maqsad sirf teri zat hai is liye namaz ki niyat me kaha jata hai ki waste Allah Ta-aala ke ye nahi kaha jata ki waste Jannat ke ya Waste jahannam se bachne ke liye lehaza jo Jannat hasil karne ya Dozakh se bachne ke liye ibadat karta hai wo apne ibadat ka natija Qayamat se pahle nahi dekh sakta hai qki Jannat Jannat our Dozakh ka mamla Qayamat ke bad hai lekin jo sirf Rab ko Razi karne ke liye Ibadat karta hai uska maqsad aaj hi hasil hoga to ye nafa me raha
 

IBADAT KI RUH
     Ibadat ki ruh ye hai ki insan Gurur (dhokha) se surur (Khushi) ki taraf ho jaye our duniya ki tariki se nikal kar haq ke nur our mushahide Jamal me pahunch jaye qki duniya our duniya ki chiz ek andhera hai our din nur Duniya me be cheni ibadat me chen ibadat duniyawi taklifon kanilaj hai lehaza jis ibadat me ye bat na ho wo bilkul be jan hai our jis chiz se Rab razi ho wo ibadat hai our jis chiz se naraz wo gunah hai
  Hazrate Ali رضی اللہ عنہ ke liye khebar ke din Huzur ﷺ ki nind ke par namaz qurban kar dena aen'e ibadat thi agar namaz chodhne me unsi raza hai to namaz chodhna ibadat hai our padhne me uski raza hai to adhna inlbadat hai Suraj nikalte waqt namaz padhna gunah hai is liye ki usme Allah wa Rasul ﷺ ki raza nahi   
        و اللہ اعلم بالصواب

       

No comments:

Post a Comment

Aapke comments hame milenge our aapko uska replay bhi diya jaega aap apni bat likh sakte hain

THANK U 🌹

Pages