Surah Fateha ki Tisri Aayat me kiye jane wale etraz ka jawab




Surah Fateha ki Tisri aayat
 
     مٰلِكِ یَومِ الدِّین
    Roze jaza ka malik

1. Aaryon ke aqida me hai ki duniya hi amal our uski jaza ki jagah hai wah kehte hain ki jo insan bura kam karta hai wo marne ke bad buri jiwan me aata hai our achche kam karne wala achche jiwan me aata hai aata hai jaese jo janwar wagera hain ye sab pehle achche jiwan me yani insan the lekin apne bure Amal ki wajah se is jiwan me janwar ki shakl me aaye

JAWAB:-
     Musalmanon ka aqida hai ki Duniya sirf amal ki jagah hai our aakhirat sirf jaza ki jagah wahan amal nahi hai ab agarcha kuch kam ayese bhi hain ki jinka badla duniya me bhi milta hai jaese Maa Bap ke sath bura suluk karne wala zindagi me khush nahi rehta our uske bache bhi uske sath wahi Mamala karte hai ya Apne Maa Bap ke sath achcha suluk karne wala Duniya me khush hal zindagi guzarta hai our apni olad se bhi ayesa hi aaram pata hai Our isi Tarah Zena karne wale shakhs ke ghar ki bahan beti bhi salamat nahi rahti hai Lekin ye Sabhi Jo duniya me mile ye saza ya jaza nahi hain jaese kisi mujrim ko jel me rakha jata hai jab tak muqadma chalta hai to uski asl saza to muqadme ke bad shuru hoti hai aese hi asl saza Qayamat ke bad di jayegi jab hisab o kitab mukammal ho jayega
Ab aaryon ka ye aqida bilkul aql ke khilaf hai
  Pehli to ye bat ki jab dusre jiwan me use ye yad hi nahi ki usne kya galati ki hai to use kya mehsus hoga ki kisi jurm ki saza hai jaese koi faqir ho our aaryon ke mutabiq wo pehle kisi gunah me tha our use saza di gai hai jis wajah se aaj wo garib hai to ab jabki use yad hi nahi hai ki ye uske kisi gunah ki saza hai ye wo pehle aaram se isi duniya me tha aaj apni kisi galati ki wajah se saza me mubtala hai jab use ye yad hi nahi to use koi gam hi nahi hoga wo apne isi garibi me hi khush hai to uske liye ye saza kaesi
  Dusri bat ye ki agar aaryon ka etraz durust hota to duniya ke tamam jandar me wazan qayem hota yani agar insan zyada hote to janwar kam ya janwar zyada hote to insan kam lekin ayesa nahi hai balki jabse duniya bani hai inki tadad me izafa hi hua hai kami nahi hui

2. Aaryon ka Dusra etraz hai ki is aayat se ye malum hota hai ki khuda qayamat ka malik hai to  jab khuda qayamat ka malik hai to abhi kon malik hai

JAWAB:-
        Is aayat me ye kaha gaya hai ki Rab Roze jaza ka malik hai halanki Rab to na sirf Roze jaza ka malik hai balki duniya ki har chiz ka malik hai to dekhiye
 Roze jaza ka malik kehne ki kai wajah hai
Ek ye ki Duniya me kuch zahiri our aarzi malik bhi hain jaese kaha jata hai ki Hindustan ka malik falan hai ya Ghar ka malik falan hai lekin Qayamat ke din ye Zahiri our Aarzi malik bhi koi nahi hoga

Our Dusri wajah ye ki Badhe Malik ki taraf nisbat karne se us chiz ki izzat zahir hoti hai kaha jata hai ki is qayede se Qayamat ke din ki Azmat our hayebat zahir hoti hai ki wo khuda ka din hai Khuda Wand'e karim usi din ka malik hai isi liye sabke dil me us din ki hayebat hai usi din ki hayebat logon se nek kam karati hai our bure kamon se bachati hai

3. Deobandiyon ka etraz hai ki jab
Qayamat ke din ka khuda hi malik hai to khuda ke siwa Nabiyon our Waliyon ko apna shafi janna our unko us din hajat rawa manna is aayat ke khilaf hai

JAWAB:-
  Shafa'at our bandon ki hajat rawai hargiz Haq ta'aala ke malik hone ke bilkul khilaf nahi Ambiya'e karam Aoliyae karam ya Ulmaye karam is liye shafa'at na karenge ki wo us din ke haqiqi malik hai balki is liye ki wo haqiqi Malik yani Rabbe Qadir ke pyare hain inki bat wahan suni jayegi
  Agar unhe ham malike haqiqi samajhte to shifa'at ka kya matlab hua wo khud bakhsh dete
  Dekhiye duniya me bhi har chiz ka malik Allah Rabbul izzat hi hai magar yahan bhi badhe hakimon ki bargah shafa'at se hi kam chalta hai
  Shafa'at ka ye mana hargiz nahi ki ham unhe malike haqiqi samajhte hain lehaza ye aqida is ke harjiz khilaf nahi hai

    Shafa'at ke talluq se mukammal jankari hasil karne ke liye niche click karen

KYA HAMARI SHAFA'AT HOGI QAYAMAT ME OUR KISKE ZARIYE HOGI

  و اللہ اعلم بالصواب



No comments:

Post a Comment

Aapke comments hame milenge our aapko uska replay bhi diya jaega aap apni bat likh sakte hain

THANK U 🌹

Pages