Quran our dusri aasmani kitab me kya farq hai❓




Quran our dusre aasmani kitabon me farq

Qurane Pak :-

     Qurane Pak Ek bar me makammal nazil nahi hua balki thodha thodha bandon ki zarurat ke hisab se nazil hoti rahi our ek bar me mukammal bhi nazil hui lekin usse ehkan jari nahi hue balke ehkam usi se jari hote the jo thodha thodha karke nazil hota

Quran pak ki hifazat ki zimmedari Khud Rab Tabarak wa ta-aala ne apne zimme karam me li hai lehaza koi bhi insan is kitab me ek harf ki bhi kami beshi nahi kar sakta hai

Quran Pak Qayamat Tak aane wale sabhi logon ke luye hidayat ban kar aaya our Hazrate Isa علیہ السلام jab is diniya me aayenge to wo bhi Huzur ﷺ ke ummati ban kar aayenge our Qurane pak ke Hukmon par amal karenge

Quran ke alawa Dusri Aasmani kitabe:-

Qurane pak ke alawa dusri aasmani kitaben Ek bar me makammal nazil hui

Quran pak ke alawa dusru aasmani kitab ki hifazat ki zimmedari Rab ne us qom ko di jinpar nazil hui

Quran Pak ke alawa dusri aasmani kitabe Qayamat Tak aane wale sabhi logon ke liye hidayat ban kar nahi aayi balki usi Qom ke liye khas thi jispar nazil hui

Quran Pak ke alawa dusri aasmani kitabe aaj wesi mojud nahi hai jesi nazil hui balki logon ne apni habitat ke mutabiq raddo badal kar diya hai

No comments:

Post a Comment

Aapke comments hame milenge our aapko uska replay bhi diya jaega aap apni bat likh sakte hain

THANK U 🌹

Pages